*【POST 10】Ek Ajib O Garib Masla*

_*(Isi Ziman Me Irshad Farmaya) Molvi (Abdul Hayi) Sahab Ne Apni Kitaab "Nafah Ul Mufti Wl Sail" Me Jisme Khud Hi Sail Aur Khud Hi Mujib (Yani Jawab Dene Wale) Hai, Sawaal Wa Jaawaab Ko Istefsaar O Istifashar Likha Hai. Ek Sawaal Qayam Kia Ke Jis Makaan Me Janwar Ho, Koi Admi Na Ho Waha Jamah Jaiz Hai Ya Nahi? Iska Jawaab Likha "Najaiz Hai." Is Jawab Se Lazim Ke Makaan Se Tamaam Makkhio Ko Nikale Aur Char Paiya Khtmalo Se Saf Kare Aur Yeh Taklif Mala Yutaaq Hai (Yani Ese Kaam Ka Paband Banana Hai Jis Ke Karne Ki Taqaat Na Ho) Halake Fuqah Tasrih Framte Hai:" Jo Bacha Samjta Aur Dusre Ke Samne Bayan Kar Sakta Ho, Uske Samne Jamah Makruh Hai Warna Harj Nahi.*_


📚 *[Al Fatwa Ul Hindiyah, Kitab Ul Nikah]*


_To Jab Na Samja Bache Ke Samne Jaiz Hai Halake Wo Admi Hia. Janwar Ke Samne Kyon Mumaniat?_


*Na Samja Bache Ke Samne Jamah Kyon Mamnu Hai?*


_*Maulif:-* Fuqah E Kiram Ne Shart Kyon Zaid Ki Ke Gair Se Bayan Kar Sakta Ho! Mehaj Samjana Kafi Tha, Aur Is Par Yeh Bhi Ilzaam Ata Hai Ke Gunge Apahij Ke Samane Jaiz Huwa Aur Use Kis Tarah Aqal Taslim Karne Ke Liye Tayar Nahi Hai._


_*Irshad:- Samjane Ke Do Ma'ni Hai Ek Nafs E Harkaat Ko Samjna, Yeh Bache Me Quwat E Bayan( Yani Bulne Ki Taqaat) Aane Se Pehle Hota Hai Aur (Dusra) Yeh Samjna Ke Yeh Harkaat Sharm Wa Haya Hai, Unka Ikhfa (Yani Chhupana) Zaroor Hai. Yeh Quwat E Bayan Aane Ke Boht Bad Hota Hai.*_


_Bayan Ke Liye Pehla Samjana Lazim Hai Aur Isi Qadr Mumaninat Ke Liye Kafi Ke Khud Agar Che Use Koi Amr Sharm O Hayan Na Samja Magar Dusro Se Kah To Sakega Bakhilaaf Dusre Ma'ni Faham Ke Ke Wo Mani Faham Ke Wo Manah Mistqil (Yani Mustqil Rukawat) Hai, Is Me Dusre Se Bayan Ki Hajat Nahi To Jis Me Dusre Ma'ni Ka Samjana Ho, Us Ke Samne Badarja Ula Mutlaqan Mumaniat Hai Agar Che Bayan Na Kar Sake._


*Taarikh Ki Ibtedah Wa Inteha Ke 4 Tariqe*


_Arz:- Huzur Aaj Kya Pehli Taarikh Hai?_


_*Irshad:- Pehli Taarikh Thi. Kal Chand Huwa, Aaj Dusri Shab Hai. Taarikh Ki Ibtedah Me 4 Tariqe Hai: Tariqa Nasara (Yani Isaiyon) Ka Unke Yaha Nisf Shab Se Nasf Shab Tak Tarikh Ka Shumar Hai. Dusra Hinud (Yani Hindu ) Ka Ke Tuluh E Aftaab Se Tulu E Aftaab Tak, Tisra Tariqa Falsafa Yunaan Ka Hai Ke Nisf Ul Nahar Se Nisf Ul Nahar Tak, Ilm E Hiyaat Me Yahi Makhuz Hai. 4th Tariqa Musalmaano Ka Gurub E Aftaab Se Gurub E Aftaab Tak Yahi Aqal E Salim Pasand Karti Hai Ke Zulmat (Yani Andhera) Noor Se Pehle Hai.*_


*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 52, 53.*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites