*Ek Sahab Ne Meri Dawaat Ki, Ba Saraar Le Gaye. Un Dono Janaab Syed Habibullah Damishqi Jilaani (Allayrehmatullah) Faqir Ke Yaha Muqim They, Unki Bhi Dawaat Thi Mere Sath Tashrif Le Gaye. Waha Dawaat Ka Yeh Samaan Tha Ke Chand Log Gaye Ke Kabaab Bana Rahe They Aur Halwai Puriyah, Yahi Khana Tha. Syed Sahab Ne Mujh Se Farmaya : Tu Gaye Ke Gosht Ka Adi Nahi Aur Yah Koi Aur Chiz Maujud Nahi Behtar Ke Sahib E Khana Se Kah Dia Jaye. "Maine Kaha Ke Meri Dawat Nahi." Wahi Puriya Kabab Khaye. Usi Din Masudo Me Warm Ho Gaya Aur Itna Bada Ke Halq Aur Muh Bilkul Band Ho Gaya. Mushkil Se Thoda Doodh Halq Se Utarta , Aur Isi Par Iktfa Karta, Baat Bilkul Na Kar Sakta Tha Yaha Tak Ke Qira'ate Saria (Yani Ahista Qira'at) Bhi Muysar Na Thi. Sunnatein Bhi Kisi Ki Iqtada Karke Ada Karta.*
_Us Waqt Mazhab E Hanfi Me Adam E Jawaz Qira'at Khalq" (Yani Imaam Ke Piche Qira'at Jaiz Na Hone) Ka Yeh Nafis Fayda Mushida Huwa. Jo Kuch Kisi Se Khana Hota Likh Deta , Bukhar Boht Shadid Tha Aur Kaan Ke Pichhe Galte. Mere Manjle (Yani Mujh Se Chote) Bhai (Maulana Hasan Raza Khan) Marhum Ek Tabib Ko Laye. Un Dino Bareli Me Marz E Taun Bashadt Tha. Un Sahib Ne Bagaur Dekh Kar 7,8 Martaba Kaha : "Yeh Wahi Hai ! Wahi Hai ! Wahi Hai ! Yani Taun. " Main Bilkul Kalaam Na Kar Sakta Tha Isliye Unhe Jawab Na De Saka, Halake Main Khub Janta Tha Ke Yeh Galat Kah Rahe Hia Na Mujhe Taun Hai, Na In Sha Allah Ul Aziz Kabhi Hoga, Isliye Ke Maine Taun Zada Ko Dekh Kar Bar Han Wo Dua Pad Li Hai Jise Huzur ﷺ Ne Famaya : Jo Shakhs Kisi Bala Rasid Ko Dekh Kar Yeh Dua Pad Lega Us Bala Se Mehfuz Rahega._
📌 *Musbiat Zada Ko Dekh Kar Padi Jane Wali Dua:*
📍 *_Wo Dua Yeh Hai:_*
*Yani Tamaam Tarife Allah Ta'la Ke Liye Jisne Mujhe Is Se Bachaya Jis Me Tu Mubtalah Hai Aur Mujhe Apni Makhluq Me Se Kashir Logo Par Fazilat Ata Farmai.*
_Dauraan E Kalam Is Dua Ki Barkatein Batate Hue Ala Hazrat Rehamtullah Allay Ne Irshad Farmaya:_
*Jin Jin Amraz Ke Marizo Jin Jin Balao Ke Mubtlah Ko Dekh Kar Maine Ise Pada
Ba Hamdi Ta'la Aj Tak Un Sab Se Mehfuz Hu Aur Ba'anuhi Ta'la (Yani Allah Ta'la Ki Madad Se) Humesha Mehfuz Rahuga. Al Bata Ek Bar Use Padne Ka Mujhe Afsos Hai. Mujhe Nau Umari Me Ashub E Jishm Aksar Ho Jata Aur Bewajh Hidat E Mijaz (Yani Mijaz Ki Garmi Ki Bina Par) Boht Taklif Deta Tha. 19 Sal Ki Umar Hogi Ke Rampur Jate Hue Ek Shakhs Ko Ramd E Chashm (Yani Aankho Ki Bimari) Me Mubtalah Dekh Kar Yeh Dua Padi. Jab Se Ab Tak Ashub E Chashm Phir Na Huwua. Usi Zamana Me Sirf Do Martaba Esa Huwua Ke Ek Aankh Kuch Dubti Malum Hui Do Char Din Bad Wo Saf Ho Gayi. Dusri Bhi Phir Wo Bhi Saf Ho Gayi Mafar Dard,Khatak ,Surkhi Taklif Aslan Kisi Ki Qism Ki Nahi. Afsos Isliye Ke Huzur Sarwar E Alam ﷺ Se Hadees Hai Ke Tin Bimariyon Ko Makaru Na Rakho.*
_1 Zukaam: Ke Iski Wajh Se Boht Si Bimariyon Ki Jardh Kat Jati Hai._
*2 Khujli: Ke Is Se Amraz E Jald Yeh Juzam (Yani Kordh) Wagera Ka Insidad Ho Jata Hai (Yani Rasta Ruk Jata Hai.)*
_3 Ashub E Chashm: Nabinai (Yani Andhepan) Ko Dafah Karta Hai._
*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 55,56.*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment