*Us Dua Ki Barkat Se Yeh To Jata Raha, Ek Aur MarzPaish Aya Jamadi Ul Ula Hizri 1300 Me Baz Aham Tasanif Ke Sabab Ek Mahina Kamil Barik Khat Ki Kitabein Shabana Roz Alal Tasaal (Yani Musalsal) Dekhna Huwa. Garmi Ka Mausam Tha , Din Ko Andar Ke Dalaan Me Kitab Dekhta Aur Likhta, 28va Sal Tha, Aankho Ne Andhere Ka Khayal Na Kia. Ek Roz Shidat E Garmi Ke Bais Doper Ko Likhte Likhte Nahaya. Sar Par Pani Padte Hi Malum Huwa Ke Koi Chiz Dimaag Se Zahini Aankh Me Utar Aai. Baye Aankh Band Karke Dahini Se Dekhta To Wast E Shay Mari (Yani Nazar Ane Wali Chiz Ke Darmiyan) Me Ek Siya Halqa Nazar Aya.*
_Iske Niche Hsay Ka Jitna Hisa Huwa Wo Nasaf Aur
Daba Huwa Malum Hota. Yaha Us Zamana Me Ek Dr Ilaaj E Chashm Me Boht Sarbara Wurd Tha. Sendarson Ya Enderson Kuch Esa Hi Nam Tha. Mere Ustad Janaab Mirz Gulam Qadir Baing Sahab Rehamtullah Allay Ne Israr Farmaya Ke Aankh Dikhai Jaye. Ilaaj Karne Na Karne Ka Ikhtiyar Hai. Dr Ne Andhere Kamre Me Sirf Aankh Par Roshni Dal Kar Alat Se Boht Der Tak Bagaur Dekha Aur Kaha :Kasrat E Kitaba Baini_
*Se Kuch Yabusat (Yani Khushki) Aa Gayi Hia. 15 Din Kitaab Na Dekho. "Mujh Se 15 Gardi Bhi Kitab Na Chhut Saki. Molvi Hakim Syed Ishfaq Husain Sahab Marhum Sahsawani Dipti Collector Tibaabat Bhi Karte They Aur Faqir Ke Meharbaan They, Farmaya: Muqdama Nuzul E Ab Hai (Yani Pani Utarne Ke Asaar Hai) 20 Baras Bad (Khudana Karda) Pani Utar Aayega (Yani Motiya Ke Marz Ki Wajh Se Binai Jati Rahegi). Maine Iltfaat Na Kia (Yani Tawajah Na Di) Aur Nuzul E Aab (Yani Motiyon Ke Bimiari) Wale Ko Dekh Kar Wahi Dua Pad Li Aur Apne Mehboob ﷺ Ke Irshad Paak Par Mutmai Ho Gaya Hizir 1316 Me Ek Aur Hajiq (Yani Mahir) Tabiyat Ke Samne Zikr Huwa, Bagarur Dekh Kar Kaha Char Baras Bad ( Khudanakhasta) Pani Utar Ayega.*
_Un Ka Hisab Dipti Sahab Ke Hisab Se Bilkul Mawafiq Aya. Unhe 20 Baras Kahe They, Uhone 16 Baras Bad 4 Kahe. Mujhe Mehboob ﷺ Ke Irshad Par Wo Aitmad Na Tha Ke Tabibo Ke Kahne Se Mazallah Mutzalzal (Yani Kamzor) Hota. Alhumdullilah Ke 30 Baras Se Zaid Guzar Chuke Hai, Aur Wo Halqa Zara Bhar Nahi Badta. Na Ba'aunhi Ta'la Bade, Na Maine Kitaab Baini Main Kabhi Kami Na Ki, Na In Sha Allah Kami Karu. Yeh Maine Isliye Bayan Kia Ke Yeh Rasoolallah ﷺ Ke Daim Wa Baqi Maujizat Hai Jo Aaj Tak Aankho Dekhe Jaa Rahe Hai Aur Qayamat Tak Ahl Imaan Mushida Karege, Agar Unhi Waqiat Ko Bayan Karu Jo Irshadat Ke Manafih Maine Khud Apni Zaat Main Mushida Kiye To Ek Daftar Ho._
📌 *(Phir Farmaya) Mujhe Irshadat E Hadees Par Itminaan Tha Ke Mujhe Taun Kabhi Na Hoga. Akhir Shab Me Karb (Yani Dard) Bada, Mere Dil Ne Dargah E Illahi (Azwajjal) Me Arz Ki:*
_(Arbi 71 Pehli) (Yani Aey Allah Azwajjal Apne Habib Ka Sacha Aur Tabib Ka Jhoota Hona Zahir Farma De.) Kisi Ne Mere Dahine Kaan Par Muh Rakh Kar Kaha Ke Miswak Aur Siyah Marchin. Log Bar Bari Se Mere Liye Jagte. Asuqat Jo Shakhs Jaag Raha Tha Maine Irshare Se Use Bulaya Aur Use Miswak Aur Siyah Mirch Ka Ishara Kia. Wo Miswaak To Samj Gaye Gol Mirch Is Tarh Samje Garz Bamushkil Samje._
*Jab Yeh Dono Chizein Dono Chizein Aaye Badiqat (Yani Bamushkil) Maine Miswak Ke Sahare Par Thoda Muh Khola Aur Danto Me Miswak Rakh Kar Chordh Di Ke Danto Ne Band Ho Kar Dabali. Pasi Hui Mirche Isi Rah Se Darho Tak Pohchai Thodi Der Hui Thi Ke Ek Kuli Khalis Khun Ki Aai Magar Koi Taklif Wa Aziyat Mehsoos Na Hui. Iske Bad Ek Kuli Khun Aur Aai Bahamde Ta'la Wo Galtane Jati Rahi Muh Khul Gaya. Maine Allah Ta'la Ka Shukr Ada Kia Aur Tabib Shaab Se Kahlwa Bheja Ke Apka Taaun Ba Fazal E Ta'la Dafah(Yani Dur ) Ho Gaya, Do Tin Roz Men Ba'aini Ta'la Bukhar Bhi Jata Raha.*
*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 57,58.*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment