📌 *Maulif:- Chunke Asna E Guftgu Me Taun Ka Zirk Tha Lihaja Maulana Molvi Haikm Amjad Ali Sahab Ne Yun Arz Kia.*
_Arz:- Galiban Yeh Balaye Kufaar Jin Ho._
*Irshad:- Haan Kufaar Hai. Hadees Me Hai.*
_Taun Tumhare Dushman Junun Ka Kuncha Yani Niz Ka Zakhm Hai._
📚 *[Kanzul Umaal, Hadees 11169]*
_Walhaja Taunzada Khaas Shauda Me Shamil Kia Jayega._
💫 *Bail Gaye Ke Gosht Me Gandak Ki Buh*💫
*Isi Silsile Me Ek Hikayat Bayan Farmai Ke Shaikh Mohqeeq Aaulqi Madni Allayrehma Mujh Se Kahte They Ke Hazrat Syed Mohammad Yamni Rehamtullah Allay Namaz E Fajar Ke Liye Masjid Me Tashrif Laye , Dekha Ke Mimbar Par Ek Bacha Bethha Hai Siwa Hazrat Ke Kisi Ne Na Dekha, Aapne
Kuch Taruz Na Farmaya (Yani Koi Puch Gach Na Ki).Namaz Pad Kar Tashrif Le Aye. Phir Zohar Ke Liye Aye To Dekha Ke Ek Jawab Betha Hai. Namaz Pad Kar
Chale Aaye Aur Us Se Kuch Na Kaha. Phir Asar Ke Liye Gaye To Wahi Mimber Par Ek Bude Ko Paya. Ab Bhi Kuch Na Pucha Aur Namaz Se Farig Ho Kar Wapas Aaye. Phir Magrib Ke Liye Gaye To Ek Bail Ko Waha Dekha. Ab Farmaya Tu Kya Hai Ke Itni Mukhtlif Halato Me Maine Tujhe Dekha Hai!*
_Usne Kaha :Main Waba Hu , Agar Aap Us Waqt Mujh Se Kalam Karte Jab Me Bacha Tha To Yaman Me Koi Bacha Baqi Na Rahta, Aur Agar Us Waqt Dariyafat Farmate Jab Jawab Tha To Yaha Koi Jawab Na Rahta, Yuhi Agar Us Waqt Bat Karte Jab Main Budha Tha To Is Shehar Me Koi Burda Na Rahta. Ab Aapne Is Haal Me Mujh Se Bail Dekha (Aur) Kalam Farmaya, Yaman Me Koi Bail Na Rahega. Yeh Kah Kar Gayab Ho Gaya. Yeh Allah Ta'la Ki Apne Bando Par Rehmat Thi Ke Aapne Pehli Tin Halato Me Us Se Sawal Na Farmaya Belo Me Murg (Yani Maut) Aam Ho Gayi Agar Us Waqt Koi Bail Acha Bhi Zibah Kia Jata To Uska Gosht Kharab Hota Ke Koi Kha Na Sakta Us Me Gandk Ki Bu Ati_
*Unhe Syed Mohammad Yamnai Radiallahu Ta'la Anho Ke Ek Sahabzade Madar Zad Wali They. Ek Maratba Jab Umar Sharif Chand Sal Ki Thi Bahar Tashrif Laye Aur Apne Walid Majid Ki Jagah Tashrif Rakhi. Ek Shakhs Se Kaha Likh:* _Arbi 73 Pehli: Yani Falah Shakhs Jannat Me Hai. Yuhi Nam Banaam Boht Se Askhas Ko Likhwaya. Phri Farmaya Likh: Dusri Arbi Falah Shakhs Dozakh Me Hai._ *Unhone Likhne Se Hath Rok Liya, Aapne Phir Farmaya, Usne Na Likha
Aapne Sa Bara(Tisri Bar) Irshad Kia.*
_Unhone Likhne Se Inkar Kar Dia. Is Par Aapne Farmaya (Tisri Arbi) To Aag Me Hai. Wo Gabrae Hue Unke Walid Majid (Rehamtullah ) Ki Khidmat Me Hazir Hue. Hazrat Ne Farmaya (4thi Arbi) Kaha 5
tharbi Arz K 6th arbi Farmaya. Hazrat Ne Irshad Farmaya: "Main Uske Kahne Ko Badal Nahi Sakta, Ab Tujhe Ikhtiyar Hai Dunia Ki Aag Pasand Kar Ya Aakhirat Ki?_
*ArzKi :"Dunia Ki Aag Pasand Hai. "Unka Jalkar Inteqal Huwa.*
📚 *Hadees Me Aag Ke Jalne Hue Ko Bhi Shaheed Farmaya Hai.*
_Majah Ul Jawahid, Kitab Ul Janaiz, Bad Jamh Faiman Hu Shaheed,_
*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 59,60.*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment