_*Arz:* Huzur Mere Bhatija Paida Huwa Hai Uska Koi Tarikhi Naam Tajwiz Farma
Dey._
*Irshad: Tarikhi Naam Se Kya Fayda Nam Wo Ho Jinke Ahadees Me Fazai Aye Hai. Mere Aur Bhaiyon Ke Jitne Ladke Paida Hue Maine Sab Ka Nam Mohammad Rakha, Yeh Aur Bat Hai Ke Yahi Nam Tarikhi Hi Ho Jaye. Hamid Raza Khan Ka Nam Mohammad Hia Aur Unki Wiladat Hizri 1296 Me Hui Aur Us Nam Mubarak Ke Adad Bhi 92 Hai , Ek Diqat (Yani Dushwari) Tarikhi Nam Me Yeh Hai Asma E Husni Se Ek Ya Do Jin Ke Adad Mawafiq E Adad E Nam E Qari (Yani Padne Wale Ke Naam Ke Adad Ke Mutabiq) Ho Adad E Nam Do Chand (Yani Dugne) Karke Pade Jate Hai.Wo Qari Ko Isme Azam Ka Fayda Dete, Tarikhi Nam Se Miqdar Boht Zayda Ho Jayegi Maslan Agar Kisi Ki Wiladat Hizri 1329 Me Hui To Uske Mutabiq Adad Ke Asma E Husna 2658 Bar Pade Jayege Aur Mohammad Naam Ho To 184 Bar, Dono Me Kis Qadr Farq Huwa.*
_Naame "Mohammad" Ke Fazail:_
*Phir Nam E Aqdas Ke Fazail Me Yeh Chand Hadeesin Zikar Farmai*
_*Ek Hadees Me Hai, Huzur Akram ﷺ Farmate Hai :* Jo Meri Mahabbat Ki Wajh Se Apne Ladke Ka Naam Mohammad Ya Ahmad Rakhega Allah Ta'la Bap Aur Bete Dono Ko Bakhshega._
📚 *Kanzul Umaal*
📌 _*Ek Riwayat Me Hai* "Qayamat Ke Din Malaika Kahege Ke Jinka Nam
Mohammad Ya Ahmad Hai Jannat Me Chale Jao."_
📚 *[Firdaus Ul Akhyar Dailmy]*
📌 _*Ek Riwayat Me Hai:* Malaika (Yani Farshtein) Us Ghar Ki Ziyarat Ko Ate Hai Jis Me Kisi Ka Nam Mohammad Ya Ahmad Hai._
📌 _*Ek Riwayat Me Hai:* "Jis Mashware Me Is Nam (Yani Mohammad) Ka Adhmi Sharif Ho Usme Barkat Rakhi Jati Hai._
📚 *[Kanzul Umaal, Kitab Ul Nikah]*
📌 _*Ek Riwayat Me Hai :* "Tumhara Kya Nuqsan Hai Ke Tumhare Gharo Me Do Ya Tin Mohammad Ho."_
📚 *[Al Taqabaat Ul Kubra La Ban Sa'd]*
*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 61,62.*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment