_*Arz:-* Phir Kis Qadr Ka Ihada Kia Jaye?_
*Irshad:- Itni Zan E Galib Ho Jaye Ke Ab Baqi Na Rahi Hogi.*
💫 *Namaz Me Musla Terda Hone Ka Hukm*💫
_*Arz:-* Ek Shakhs Namaz Padai Musla Kuj (Teda Tha) Na Unhone Istqbal E Qibla
(Yani Qibla Rukh Na) Kia Na Musla Hi Ko Thik Kia, Namaz Hui Ya Nahi?_
*Irshad:- Agar Musala Ka Mailan (Yani Jukao) Qibla Se 45 Darje Ke Andar Tha To Namaz Ho Gayi, Aur Agar Zayda Tha To Batil.*
_(Phir Farmaya) Bareli Aksar Masjid Qibla Se Do Dor Darje Janib E Shumal Hui Hia , Aur Bamabni Ki Masjid 10 Darje Janib E Junub, Agar Sharah Muthar Is Ki Ijazat Na Deti To Lakho Namaze Batil Hoti. (Phir Farmaya) Insan Ki Peshani Ke Qausi Shakal Hone Me Yeh Bhi Masliyat Hai Tke Yeh Asani Rahe Ke Agar Qibla Se 45 Darje Tak Inharaf Bhi Hoga To Bhi Peshani Ke Kisi Juz Se Muahzat Ho Jayegi Agar Peshani Mustwa Hoti To Yeh Baat Hasil Na Hoti._
*Ihraaf Masjid Ki Wajh Se Bayan Farmai Logo Ne Yeh Samja Ke Magrib Ki Taraf Na Karke Is Tarah Khade Ho Ke Qutb Dahine Shane Par Ho To Jo Jahat Muhazi Wajh (Yani Chehre Ke Samne) Ho Wahi Simat E Qibla Hai. Halake Yeh Tahqeek Nahi Hai Albata Hindustan Me Taqrib Ke Liye Kafi Hai.*
💫 *Barik Kapdo Me Namaz Ka Hukm*💫
_*Arz:-* Aurto Ki Namaz Barik Kapdo Me Hoti Hai Ya Nahi?_
*Irshad:- Azad Aurato Ko Sar Se Pao Tak Tamam Badan Ka Chhupana Farz Hai Magar Chehra Yani Peshani Se Thodi Aur Ek Kanpati Se Dusri Kanpati Tak (Jisme Sar Ke Balo Ya Kaan Ka Koi Dakhal Nahi Na Thhodi Ke Niche Ka) Yeh To Bil Itefaq Namaz Me Chhupana Faraz Nahi Aur Gutno Tak Dono Hath, Takhno Dono Pai, Un Me Ikhtlaaf Riwayat Hai. Un Ke Siwa Agar Kisi Uzu Ka Chhotha Hisa Namaz Me Qasd (Yani Jana Bujkar) Khole Agar Che Ek Aan Ko Ya Bil Qasd Badar Ada E Rukn Yani Tin Bar Subhan Allah Kahne Ki Der Tak Khula Rahe To Namaz Na Hogi.Aur Barik Kapde Jin Se Badan Nazar Aye Ya Rang Dikhai De Yah Sar Ke Balo Ki Siyahi Chamke To Namaz Na Hogi.*
*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 66,67.*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment