*【POST 19】Kya Nabi Karim ﷺ Ko Ilm Gaib Tha. (A)*

📌 _*Maulif:-* Ek Sahab Jin Ka Melaan Qadr E Wahbiyat Ki Tarf Tha, Unhone Ilm E 

Gaib Nabi Karim ﷺ Ki Nisbat Sawal Kia To Farmaya :_


*Irshad:- Kya Aap Mutlaq Ilm E Gaib Ko Puchhte Hia Ya Ilm E Makaan Wama Yakun Jaisa Sawal Ho Uske Mawafiq Jawab Dia Jaye.* 


_*Arz:-* Main Huzur ﷺ Ko Sab Se Afzal Wa Ala Janta Hun Aur Huzur ﷺ Ko Roshan Zamin Manta Hun Magar Yeh Ke Wo Dilo Ki Baat Jante Hai Yeh Nahi 

Manta._


*Irshad:- Roshan Zamin Hone Ki To Yahi Ma'ni Hia Ke Dilo Ki Halatein Jane (Phir Uske Sabut Ki Taraf Tawja Farmai) Quran E Azim Farmata Hai:*


_Aey Aam Logo Allah (Azwajjal) Isliye Nahi Ke Tumhe Gaib Par Mutlah Farma Dey. Han Apne Rasoolo Me Se Chun Lete Hai Jise Chahe._


*Aur Farmata Hai*

_Allah Ta'la Alim Ul Gaib To Apne Gaib Par Kisi Ko Muslat Nahi Farmata Magar Apne Pasand Apne Pasndid Rasool Ko._


*Sirf Izhar Nahi Balek Rasoolo Ko Ilm E Gaib Par Muslat Farma Dia. (Iske Bad Irshad Farmaya ) Ke Ulma E Ahl Sunnat Rehamtullah Allay Azmain Ka Itefaq Hai Ke Jo Fazail Aur Ambiyah Kiram Allaysallato Salam Ko Inayat Farmaye Gaye Wo Sab Bakamal Wuuh (Yani Akmal Taur Par) , Un Se Badar Jaha (Yani Kai Darje) Zahid Huzur Syed Alam ﷺ Ko Murhamat (Ata) Hue Aur Ahl Batin Ka Is Par Itefaq Hai Ke Jo Kuch Fazail Aur Ambiyah Allaysallam Ko Mile Wo Sab Huzur Ke Diye Se Aur Huzur ﷺ Ke Tufail Me.*


_Ashab Sahi Bukhari Wa Muslim Ne Riwayt Ki:

Main Batane Wala Hun Aur Allah Ta'la Ata Farmata Hai._

📚 *[Sahi Bukhari, Kitab Ul Ilm Sahi Muslim Kitab Ul Zakaat]*


_Allah Ta'la Syedna Ibrahim Khalilullah Allaysalam Ki Baabat (Ke Bare Me) 

Farmata Hai._

*Yani Esa Hi Hum Ibrahim Ko Asman Wa Zamin Ki Sari Salatnat Dikhate Hai.*

📚 *[Al Inaam Ayat 75]*


*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 67,68.*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites