*【POST 20】Kya Nabi Karim ﷺ Ko Ilm Gaib Tha. (B)*

*Aur Lafz "Noori" Istmradu Tajdud Humesagi Aur Takrar Par Daal (Dalalatkarta) Hai Jis Ka Ye Matlab Ke Wo Dikhana Ek Bar Ke Liye Na Tha Balke Humesa Hai To Yeh Sifat Huzur Akram ﷺ Me Akmal Taur Par Sabit, Huzur Ke Diye Se Aur

Huzur Ke Tufail Main Huzur Ke Jad E Akram ﷺ Ko Yeh Fazilat Mili. Iska Inkar Na Karega Magar Kora Batin (Yani Kina Rakhne Wala) Allah Ta'la Hume Is Batil Aqeedah Se Bachaye) Aur Lafz Kazalik Tashbiyah Ke Waste Hai Jaise Har Mamuli Arbi Da Janta Hai Aur Tashbiyah Ke Liye Mushba (Yani Jise Tashbiyah Di Gayi) Aur Mushba " To Khud Quraan E Karim Me Mazkur Hai Yani Hazrat Ibrahim Allaysallam. Baqi Raha "Mushba Bihi Wo Nabi Karim ﷺ Hai. Maltab Yeh Huwa Ke Aey Habib Labib ﷺ Jaise Hum Aap ﷺ Ko Asmano Aur Zamino Ke Saltnate Dikha Rahe Hai Yuhi Ap ﷺ Ke Tufail Main Aapke Walid Majid Hazrat Ibraimm

Allaysallam Ko Bhi Unka Muaina Kara Rahe Hai Aur Quraan Karim Me Irshad Farmata Hai :*


_Yani Mera Mehboob Gaib Pr Bakhil Nahi._

📚 *[Surah Takwir Ayat 24]*


*Jis Me Istedad (Salhiyat) Pate Hai Use Batate Bhi Hai Aur Zahir Ke Bakhil Wo Jiske Pass Maal Ho Aur Sarf (Kharch) Na Kare. Wo Ke Jis Ke Pass Maal Hi Nahi Kya Bakhil Kaha Jayega? Aur Yaha Bakhil Ke Nafi Ki Gayi To Jab Koi Chiz Sarf Ki Na Ho Kya Mufaad? Lihaja Malum Huwa Ke Huzoor ﷺ Gair Par Mutlah Hai, Aur Apne Gulamo Ko Is Par Itlah Bakhshe Hai Aur Farmata Hai:*


_Humne Tum Par Yeh Kitaab Har Shay Ka Roshan Bayan Kar Dene Ke Liye Utaari_

📚 *[Al Nahal Ayat 89]*


*"Tibyanan" Irshad Farmaya , Bayanan Na Farmaya Ke Malum Ho Jaye Ke Isme Bayan Ishiyah Is Tarah Par Hai Ke Aslan Khafa (Poshidgi) Nahi Aur Hadees Me Hai Jise Imaam Tirmzii Wagera Ne Das Sahaba Radiallahu Ta'la Se Riwayat Kia Ke Sahaba E Kiram (Rizwanullah Ta'la Allayazmain) Farmate Hai Ke Ek Roz Hum Subah Ko Namaz E Fajar Ke Liye Masjid E Nabwi Ala Sajha Salato Salam) Me Hazir Hue Aur Huzur ﷺ Ki Tashrif Awari Me Der Hui. Qarib Tha Ke Aftaab Tulu Kar Aye. Itne Me Huzur ﷺ Tashrif Farma Hue, Aur Namaz Padai. Phir Sahaba Rizwanullah Allay Azmain Se Mukhtib Hokar Farmaya Ke Tum Jante Ho Kyon Der Hui? Sab Ne Arz Ki Allah Wa Rasool Azwajjal Wa ﷺ Khub Jante Hai.*


📌 *Irshad Farmaya:*

_Mera Rab Azwajjal Sab Se Achhi Tajli Me Mere Pass Tashrif Laya._


*Yani Main Ek Dusri Namaz Me Mashgul Tha. Us Namaz Me Abd (Banda) Dargah E Mabood Me Hazir Hota Hi Aur Waha Khud Hi Mabood Ki Abad Par Tarjli Hui. Usn Farmaya :"Aey Mohammad ﷺ Yeh Farishtein Kis Bat Me Mukhsama Aur Mubahaat Karte Hai? Maine Arz Ki Main Be Tere Bataye Kya Janu, To Rabul Izzat Azwajjal Ne Apna Dast E Qudrat Mere Dono Shano Ke Darmiyan Rakha Aur Uski Thhandak Maine Apne Sine Me Pai Aur Mere Samne Har Chiz Roshan Ho Gayi Aur Maine Pehchanli.*


_Sirf Isi Par Iktfa Na Farmaya Ke Ksisi Wahabi Ko Yeh Kahne Ki Gunjaish Na Rahe Ke Kul Shaye Se Murad Har Shay Mutlaq Basharih (Shariro Ke Mutliq Har Chiz) Hai Balke Ek Riwyat Me Farmaya :_


_Maine Jaan Liya Jo Kuch Asman Aur Zamin Me Hai._

📚 *[Jameh Tirmizi, Kitab Ul Tafsir]*


_Aur Dusri Riwayat Me Farmaya:_

*_Aur Maine Jaan Liya Jo Kuch Mashriq Se Magrib Tak Hai._*

📚 *[Jameh Tirmizi Kitab Ul Tafsir]*


*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 69,70,71.*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites