*【POST 21】Kya Nabi Karim ﷺ Ko Ilm Gaib Tha. (C)*

 *Yeh Tino Riwayatein Sahi Hai To Tino Lafz Irshad E Aqdas ﷺ Se Sabit Hai. Yani Maine Jaan Liyah Jo Kuch Asmano Aur Zamin Me Hai Aur Jo Kuch Mashriq Se Magrib Tak Hai. Har Chiz Mujh Par Roshan Ho Gayi Aur Maine Pehchan Li Aur Roshan Hone Ke Sath Pehchan Lena Isliye Farmaya Ke Kabhi Shaye Maruf (Malum) Hoti Hai Paish E Nazar Nahi Aur Kabhi Shaye Paish E Nazar Hoti Hai Aur Maruf Nahi Jaise Hazar Admiyon Ki Majlis Ko Chhat Par Se Dekho, Wo Sab Tumhare Paish E Nazar Hoge Magar Un Me Boht Ko Pehchante 

Na Hoge. Isliye Irshad Farmaya Ke Tamaam Ashya Alam Humre Paish E Nazar Bhi Ho Gyai, Aur Humne Pehchan Bhi Liye Ke Un Me Na Koi Humari Nigah Se 

Bahar Hi Na Ilm Se Kharij,*

_Wallahumdulah Rabul Almin._


*Musalman Dekhe Nasus Me Bila Zaroorat Tawil Takhsis Batil Wa Masmuh Hai (Naqabil E Qabul Hai) Allah Azwajjal Ne Farmaya Har Chiz Ka Roshan Bayan Kr Dene Ko Yeh Kitab Humne Tum Par Utari. Nabi ﷺ Ne Farmaya : Har Chiz Mujh Par Roshn Ho Gayi Aur Maine Pehchan Li To Bila Shuba Yeh Riwayat Wa 

Marifat (Dekhna Aur Pehchanna) Jamih Maknunat E Qalam Wa Maktubaat Lau (Yani Qalam Aur Lauh E Mehfuz Ke Tamaam Basta Razo ) Ko Shamil Hai Jis Me Sab Ma Kaan Wama Yakun (Yani Roz E Azal Se Roz E Akhir Tak Jo Kuch Huwa, Ya Hoga) Wa Jumla Zamaar Wa Khawatir (Yani Tamaam Poshida Umoor Bashamul Ahwal E Dil) Sab Kuch Dakhil Wa Lahada Tibrani Wa Naem Bin Hamad Ustaz Imaam Bukhari Wagera Humane Abdullah Bin UmarRadiallahu Ta'la Anho Se Riwayat Ki Ke Rasool Allah ﷺ Farmate Hai :*


_Beshak Allah (Azwajjal) Ne Mere Samne Dunia Uthhali Hai Tu Maine Use Aur Usme Jo Kuch Qayamat Tak Hone Wala Hai, Sab Ko Esa Dekh Raha Hun Jaise Apni Is Hatheli Ko._

*Majmuah Ul Zawaid*


_Aur Huzur ﷺ Ke Sadqe Me Allah Ta'la Ne Huzur Ke Gulamo Ko Yeh Martaba 

Inayat Farmaya. Ek Buzurag: "Wo Mard Nahi Jo Tamaam Dunia Ko Mishl E Hatheli Na Dekhe."Unhone Sach Farmaya Apne Martaba Ka Izhar Kia._


*Unke Bad Hazrat Shaikh Bahau Almaltawaldeen Naqasbandi Quds Sira Ne 

Farmaya: Main Kahta Hun Mard Wo Nahi Jo Tamam Alam Ko Anguthe Ke Nakhun Ki Mishl Na Dekhe. "Aur Wo Jo Nisb Me Huzur Ke Sahzade Aur Nisbat 

Me Huzur Ke Ek Ala Ja Kafsh Bardaar (Buland Martaba Gulaam) Hai Huzur Syedna Gaus E Azam Radiallahu Ta'la Anho Qaseeda Gausiyah Me Irshad Farmate Hai:*

*_82 Page Arbi_*


_Yani Maine Allah Azwajjal Ke Tamaam Sheharo Ko Mishl E Rai Ke Dane Ke Mulahija Kia._


_Aur Yeh Dekhna Kisi Kahs Waqt Se Khass Na Tha Balke (Lagatar) Yeh Hi Hukm Hai, Aur Farmate Hai_

*(Arbi)*


_Meri Aankh Ki Tapli Lau E Mefuz Me Lagi Hai_


*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 71,72,73.*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites