_Iske Bare Me Allah Ta'la Farmata Hai: ‘Har Chhoti Badi Chiz Likhi Hui Hai’._
📚 *[Al Qamar 53]*
📖 *Aur Farmta Hai.*
_Humne Kitaab Me Koi Shaye Utha Na Rakhi._
📚 *[Al Inaam 38]*
📖 *Aur Farmata Hai*
_Koi Tar W Khushk Esa Nahi Jo Kitaab Mubin Me Na Ho._
📚 *[Al Inaam 59]*
_To Jab Lauh E Mehfuz Ki Yeh Halat Ke Usme Tamaam Kainaat Roz E Azal Se Roz E Akhir Tak Mehfuz Hai To Jisko Iska Ilm Ho, Beshak Use Sari Kainaat Ka Ilm Hoga._
📌 *Zohar Ka Waqt Kab Tak Rahta Hai?*
_*Arz:-* Zohar Ka Waqt Kab Tak Rahta Hai?_
*Irshad:- Mazhab E Imaam E Azam Rehamtullah Allay Me Do Mishl Tak Rahta Hai.*
📌 *Aur Yeh Hi Qaul Ash Hai.*
_*Arz:-* Agar Ek Mishl Ke Andar Zohar Padi Jaye Aur Bad Do Mishl Asar To Behtar Hoga Ke Sb Aqwal E Ulma Jama Ho Jayege._
*Irshad:- Han Acha Hai, Imaam (Imaam E Azam Abu Hanifa Rehamtullah Allay) Wa Sahibin (Imam E Azam Ke Do Jalil Ul Qadr Sagird Imaam Abi Yusuf Aur Imaam Mohammad Rehamtullah Allay) Ke Qaul Jamah Ho Jayege, Tamaam Aqwal Ulma Ka Jamah Karna Na Mumkin Hai Ke Isthazi Shafiyah Se Is Amar
Ke Qayl Hai Ke Bad E Mishlin (Yani Mishl Ke Bad) Kisi Ki Namaz Ka Waqt Hi Nahi.*
💫 *Garmiyon Me Zohar Ka Musthab Waqt Konsa Hai ?*💫
📌 *Molvi Amjad Ali Sahab*
_Zohar Me Takhir, Garmi, Ke Zamana Me Musthab Hia Is Qadr Ke Shidat E Har (Yani Garmiyon Ki Siddat) Jati Rahe Jaisa Ke Hadees Me Irshad Huwa:_
_Zohar Ko Thhanda Karke Padho Ke Garmi Ki Sakhti Jahannum Ki Saans Hai._
📚 *[Sahi Bukhari Jitab Ul Mawaqiyat Salat]*
*Irshad:- Han Ek Mishl Tak To Hargiz Sidhat E Har (Garmi Ki Siddat) Me Kami
Nahi Hoti, Yeh Ala Darja Ki Hadees Imaam Ki Ala Dalil Hai Aur Ise Wajeh Tar Kar Dia Bukhari Ki Hadees Abu Zar Radiallahu Ta'la Anho Ne Ke Ek Manzil Me Tashrif Farma They , Mauzin Azan Kah Ke Hazir E Bargah Hue, Farmaya, Abar "Waqt Thhanda Karo, Phir Der Ke Bad Hazir Hue Farmaya Abrid Waqt Thhanda Karo, Hata Maswa Ul Zilutalul " Yaha Tak Ke Telo Ke Saye Un Ke Barabar Ho Gaye.*
_Us Waqt Namaz Ada Farmai._
📚 *[Sahi Bukhari Kitab Ul Azan]*
_Khud Aima Shafiyah Tasrih Farmate Hai Ke Tilo Ka Saya Shuru Us Waqt Hota Hai Jab Ke Aksar Zohar Ka Waqt Nikal Jata Hai To Un Ke Barabar Kis Waqt Hoga Yaqinan Jab Ke Mishl Awal Der Ka Nikal Chuka Ho, Qaylaan E Misl Awal Ke Pass Is Hadees Se Aslan Koi Jawaab Nahi. Gair Muqlido Ke Paishwanzir Husain Dehlvi Ne Mayaar Ul Haq Me Jo Harkat Mabuhi Aur Hadees Se Muskhragi Ki Hai Askaar Damiri Kitaab "Hazizul Bahrin" Me Dekhe._
*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 73,74,75.*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment