*【POST 23】Do Mishl Se Pehle Namaz E Asar Padne Ka Hukm*

📍 _*Arz:-* Agar Qabl Domishl Ke Asar Ki Namaz Pad Li Jaye To Ho Jayegi?_


📌 *Irshad:- Han! Sahibin (Yani Imaam E Azam Rehamutllah Allay Ke Do Jalil Ul Qadr Shagird Imaam Abu Yusuf Aur Imaam Mohammad Rehamtullah Allay) Ke Nazdik Ho Jayegi.*


📍 _*Arz:-* Kya Ihada (Yani Namaz Dubara Padna) Wajib Na Hoga?_


📌 *Irshad:- Farz Na Hoga Ke Us Qaul Par Bhi Fatwa Dia Gaya Hai Agar Che Sahi Wa Mautmal Qaul E Imaam Hai.*


💫 *Ikhtlaafi Masail Ka Hukm*💫


📍 _*Arz:-* To Kya Tamaam Masail E Ikhtlaafiyah Ka Yehi Hukm Hai?_


📌 *Irshad:- Nahi Balke Jis Me Ikhtlaaf E Fatwa Hai Uska Yahi Hukm Hai Ke Jis Qaul Par Amal Kia Jayega Ho Jayega Aur Chunke Isme Ulma Dono Taraf Gaye Hai Aur Dono Qaulo Par Fatwa Dia Lihaja Jis Par Amal Kia Jayega Ho Jayega Magar Jo Mu'atqadi Tarjih Qaul E Imaam (Imaam E Azam Ke Qaul Ko Rajeh Manta) Hai Use Ihtiraz (Bachna) Chaiye. Harmain Taibain Me Ab Kuch Barso Se Hanfi Masle Par Namaz E Asar Mishl E Shani Me Hone Lagi Hai. Subah Ke Siwa Sab Namazein Pehle Masla E Hanfi Par Hote, Shafiyah Ne Shikayat Ki Ke Humare Liye Waqt E Asar Humare Mazhab Ki Ruh Se Tang Ho Jata Hai.*


*Is Par To Yeh Huwa Nahi Ke Namaz E Asr Mishl Subah Mauwkhar Kar Di Jaye, Rakhi Muqdam Aur Mishl Daum Me Kardi. Is Bar Ki Haziri Me Yeh Nayi Bat Dekhi Main Aur Makka Ke Jalil Ulma E Hanfiyah Mishl Maulana Shaikh Saleh Kamal Mufti Hanfiyah Wa Maulana Syed Ismail Muhafiz E Kutub E Haram Is Jamaat Me Sharik Hote To Nafal Ki Niyat Se Phir Hanfi Waqt Par Apni Jamat Karte Jis Me Wo Akabir Is Faqir Ko Imaamat Par Majbur Farmate.*


💫 *Zawaal Ke Waqt Jumuah Ada Karna Kaisa.*💫


📍 _*Arz:-* Jumuah Agar Ain Zawaal Ke Waqt Pada Jaye To Hog Ya Nahi?_


📌 *Irshad:- Nahi.Kutub E Fiqah "Bahr" Wagera Me Tasrih Farmai Ke Jumuah Mishl E Zohar Hai.*


*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 76,77.*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites