*【POST 24】Ek Ishkaal Aur Uska Jawaab*

_*Arz:-* Zawaal Ke Waqt Namaz Ki Karahat Is Bin Par Hai Ke Jahannum Roshan Ki Jata Hai. Aur Yeh Hades Me Hai. Dusri Hadees Me Irshad Farmaya Ke Jumuah Ke Din 

Jahannum Badkaya Nahi Jata. Lihaza Chaiye Ke Zawaal Ke Waqt Makruh Na Hoo Ke Manah (Yani Rukawat) Maujud Nahi._

 

*Irshaad:- Yeh Us Waqt Nawafil Ki Karahat Me Jari Hai Faraiz Ke To Awal Wa 

Akhir Muqrar Hai, Awal Se Pehle Batil Hai Aur Akhir Ke Bad E Qaza Maslan Namaz Subah Ka Waqt E Tuluh E Fajar Hai Is Se Pehle Shuru Ki To Namaz Na Hogi, Na Yeh Ke Use Jaiz Kah De Ke Wo Waqt E Karahat Namaz Ka Nahi, Yuhi Jumuah Ke Din Jahannum Na Sulagane Jane Se Agar Sabit Huwa To Itna Ke Wo Auqaat E Karahat Se Na Raha Na Yeh Ke Jumuah Jis Ka Agaz E Waqt Bad E Jawaal Hai Paish E Az Waqt Jaiz Ho Jaye, Han Darbaar E Nawafil Isi Hadees Ki Bina Par Imaam Abu Yusuf Rehamtullah Alay Ne Roz E Jumuah Waqt E Zawaal Karahat Na Mani, Ishab Me Ise Sahi Wa Mautmad Rakha.*


_Magar Yeh Hawi Qudsi Se Hai. Mera Tajurba Hai Ke Sahib Hawai Yusufi Ul Mazhab Hai Har Jagah Qaul E Imaam E Abu Yusuf Ko Hum Isi Ko Ikhtiyar Karte Kahte Hai. Humare Imaam Radiallahu Ta'la Anho Ka Mazhab Jis Par Tamaam 

Mutwan Wa Shuruh Hai, Itlaq E Manah" Hai (Yani Mutlaq Manah Hai) Aur Yeh Sahi Wa Mautmad Hai._


💫 *Paani Allah Ta'la Ki Naimat Hai*💫


📌 *Maulif:- Aaj Hazrat Maulana Molvi Ahmad Mohdees Surati Allayrehma (Jinko Ala Hazrat Madzilul Quds Siran Ne "Al Asad Ul Asul Shadun" Yani Fitno Ki Mukmal Rok Tham Karne Wala Qawi Sher) Se Mukhatib Farmaya Tha Aur Janaab Molvi Hamdullah Sahab Paisharwi Bhi Daulat Kada Aqdas Pra Mehman Hai. Duper Ka Waqt Hai, Yeh Hazraat Aur Hazrat Qibla Barkthum Khana Mulahija Farma Rahe Hai.*


_Maulana Moliv Hakim Ajmad Ali Sahab Bhi Hazir Aur Sharik E Taam Hai. Bareli Ke Paani Ki Nafasat Ka Zikr Huwua, Is Par:_ *Irshad Huwa Ke Pani Allah Ta'la Ki Boht Badi Naimat Hai Jis Se Quran Azim Me Jabaja Bando Par Minnat Rakhi (Yani Unhe Apna Ahsan Yad Dilaya) Aur Ek Jagah Khas Us Par Shukr Ki Hidayat Farmai.*


_Kya Tumne Dekha Yeh Paani Jo Pite Ho Kya Tumne Use Badalo Se Utara Ya Hum Hai Utarne Wale Balke To Aey Rab Azwajjal Humare Hum Chahe To Use Sakht Khaari Kar De Phir Kyon Nahi Shukr Karte (Tere Wajh Karim Ke Liye Humesha Hai Aey Rab Azwajjal Humare)_

📚 *[Para 27 Al Waqiah]*


_Huzur Sarwar E Alam ﷺ Ne Kabhi Khane Pine Pehanane Ki Koi Chiz Kisi Se Talab Na Farmai Magar Thhanda Pani Dub Bar Talab Farmaya. Ek Bar Farmaish Farmai Raat Ka Basi Lao._

📚 *[Sunan Ibne Majah]*

*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 77,78,79.*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites