*【POST 103】Duao Par Bharosa.* 💫

📍 *Maulif :- (Yani Ala Hazrat Allayrehma ) Bad Namaz E Asar Sahan Me Tashrif Frama Hai, Murideen Wa Mautqadeen (Yani Aqidatmand Rakhne Wale) Hazir E Khidmat Ke Molvi Rehamillahi Sahab (Allayrehma) Mudrisa Daum E Madarsa E Isla Aur Talib E Ilm Molvi Najeeb Ul Rehmaan Ek Kitab Humara Laye. Huzur Ne Dariyafat Farmaya : Kya Kitaab Hai?*


✨ _*Arz:* Kya Huzur !"Amal E Taskhir (Yani Kisi Jin Ya Insaan Ko Qabu Karne Ke Amliyat Ke Bare) Me Hai Ek Ibarat Ka Matlab Dariyfat Karna Tha._


📌 *Irshad: Mere Pass In Amaliyat Ke Zakhire Hai Lekin Bahamd E Lillah Ta'la Aj Kabhi Is Taraf Khayal Bih Nahi Kia. Humesha Un Duao Par Jo Ahadees Me Irshad Hue Amal Kia. Meri To Tamam Mushkilaat Inhi Se Hal Hoti Rahti Hai.*


💫 *Samandari Tufaan.* 💫


📌 *(Isi Tazkire Me Farmaya) Dusri Baar Jab Kabba Muazmah Hazir Huwa , Yaka Yak (Yani Achanak) Jana Ho Gaya, Apna Pehle Se Koi Irada Na Tha. Pehli Bar Ki Hazri Walidain Majidain Rehamtulllah Allay Ke Humra Rikaab (Humrahi Me) Thi. Us Waqt Mujhe 30va Saal Tha. Wapsi Me Tin Din Tufaan Shadid Raha Tha, Iski Tafsil Me Boht Taul Hai. Logo Ne Kafan Pehle Liye They. Hazrat Walida Majida Ka Iztiraab (Parehsani) Dekh Kar Unki Taskin (Yani Tasli) Ke Liye Be Sakhta Meri Zubaan Se Nikala Ke Aap Itminan Rakhe, Khuda Ki Qasam ! Yeh Jahaz Na Dubega. Yeh Qasam Maine Hadees Hi Ke Itminaan Par Khai Thi Jisme Kashti Par Sawaar Hote Waqt Garz (Yani Dubne) Se Hifazat Ki Dua Irshad Hui Hai. Maine Wo Dua Padli Thi Lihaja Hadees Ke Wada Sadiqa (Sache Wade) Par Mutmaeen Tha. Phir Bhi Qasam Ke Nikal Jane Se Khud Mujhe Andesha Huwa Aur Ma'an Hadees Yad Aai:*


✨ _Jo Allah Ta'la Par Qasam Khaye, Allah Uski Qasam Ko Rad Farma Deta Hai._

📖 *[Kanzul Umaal]*


📌 *Hazrat Izzat (Yani Allah Ta'la) Ki Taraf Ruju Ki Aur Sarkar E Risalat ﷺ Se Madad Mangi Alhumdullilah Azajjal Ke Wo Mukhalif Huwa Ke Tin Din Bashidat Chal Rahi Thi Do Gardi Me Bilkul Mauquf Ho Gayi (Yani Ruk Gayi) Aur Jahaz Ne Nijaat Pai.*


*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 221,222.*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites