*【POST 30】Sarkaar E Madina ﷺ Ka Naam E Aqdas*

💎 _*Arz:-* Huzur E Aqdas ﷺ Ka Naam E Aqdas Kya Hai?_ 


📌 *Irshad:- Huzur Ke Alam E Zaat Do Hai.Kutub E Saqiba Me Ahmad Hai Aur Quraan Karim Me Mohammad Hai ﷺ Aur  Huzur ﷺ Isma E Sifaat (Sifaati Naam) Begenti Hai. Allama Ahmad Khatib Qustalani Allayrehma Ne 500 Jama Farmaye.* 

📚 *[Al Mawahibladunia]*


📌 *Seerat E Shami Me 300 Aur Izafa Kiye Aur Maine 600 Aur Milaye. Kul 1400  Hue Aur Huzur Ke Asma E Tabqe Me Mukhtlif Hai Aur Har Har Jins Me Judagana Hai, Dariya Me Aur Nam Hai Pahado Me Aur.* 


💎 _*Arz:-* Yeh Kashrat E Asma Kasrat E Sifaat Par Dalalat Karti Hai?_

 📌 *Irshad:- Haan*

 

💎 _*Arz:-* Har Tabqa Aur Har Jins Me Juda Juda Hona Isliye Har Jagah Huzur ﷺ Ki Ek Khass Tajli Hai. Jis Jagah Jis Ka Zahoor Isi Ke Munasib Nam Bhi Hai._

📌 *Irshad:- Yeh Bhi Hai. (Iske Bad Bayan Farmaya) Injil Sharif Ki Boht Si Ayat Haim Jo Huzur ﷺ Ke Aausaaf Bayan Kar Rahi Hai, Agar Che Nasara (Isai) Ne Both Tahrif Ki Hai, Aur Apni Chalti Wo Kul Ayatein Jo Huzur ﷺ Ke Aausaf Me Thi, Nikaal Dali Magar Jis Amar Ko Allah Azwajjal Pura Karna Chahe Usko Kon Naqis Kar Sakta Hai.* 


💎 _Boht Si Ayatein Ab Bhi Rah Gayi Magar Unhe Sujti Nahi Al Hazal Qayas (Is Tarah) Taurat Wa Zabur Me._ 

📌 *Kya Allah Azwajjal Aur Uske Habib ﷺ Ka Ilm Barabar Hai?*


📌 *Maulif: Ek Sahab Shahjahan Pur Se Hazir E Khidmat Hue Unhone Arz Ki Maine Suna Hai Aur Baz Deobandio Ki Kitabo Me Bhi Dekha Hai Ke Huzur Syed E Alam ﷺ Ke Ilm Sharif Ko Janaab (Ala Hazrat) Allah Ta'la Ke Ilm E Karim Ke  Barabar Farmate Hai Magar Chunke Yeh Baat Samj Me Nahi Ati, Isliye Maine Chaha Ke Huzur Ka Sharf E Mulaqat Hasil Karke Use Arz Karu Aur Jo Kuch Hazrat Ka Is Bare Me Khayaal Ho Dariyafat Karo.*


📌 *Irshad: Iska Faisla Quran E Azim Ne Farmaya Dia:* 


💎 _*Tarjumah:-* To Jhooto Par Allah (Azwajjal) Ki Laanat Dale._

*Jo Mere Aqaid Hai Wo Meri Kitabo Me Likhe Hai. Wo Kitabein Chhap Kar Shaya Ho Chuki Hai, Kahi Uska Kuch Naam Wa Nishan Ho To Koi Dikha De. Hum Ahl Sunnat Ka Masla E Ilm E Gaib Me Yeh Aqeedah Hai Ke Allah Ta'la Ne Huzur Ko  Ilm E Gaib Inayat Farmaya. Rab Azwajjal Farmata Hai*

_Yeh Nabi Gaib Batane Me Bakhil Nahi._ 

📚 *[Parah 30 Al Takwir 24]*

 

*Tafsir E Mulam Wa Tafsir Khazin Me Hai Yani Huzur ﷺ Ko Ilm E Gaib Ata Hai Wo Tumhe Bhi Talim Farmate Hai. (Tafisr E Khazaan) Aur Wahabiyah Deobandio Ka Yeh Khayal Hia Ke Kisi Gaib Huzur Ko Nahi, Apne Shaitan Ki Wus'at E Ilm E Nas (Yani Esi Ayat Qurani Ya Hadees) Se Sabit Hai Aur Allah Ta'la (Azwajjal) Ke Diye Se Bhi Huzur ﷺ Ko Ilm E Gaib Hasil Nahi Ho Sakta. Barabar To Dar Kinaar Maine Apni Kitabo Me Tasrih Kar Di Hai Ke Agar Tamam Awlin Wa Akhirin Ka Ilm Jamah Kia Jaye To Is Ilm Ko Ilm E Illahi Azwajjal Se Wo Nisbat Hargiz Nahi Ho Sakti Jo Ek Qatre Ke Karodwe Hisa Ko Carore Samndar Se Hai Ke Yeh Nisbat Matna Ki Matna Hi (Mehdood) Ke Sath Hai Aur Wo Gair E Matnahi (Yani La Mehdood) , Matnahi Ko Gair E Matnahi Se Kya Nisbat Hai.*


*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 89,90,91.*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites