*【POST 32】Dauran E Iddat Nikah Padane Wale Ka Hukm*

💎 _*Arz:-* Agar Koi Paish Imaam Ya Qazi Iddat Me Nikah Padyega To Uske Liye Kya Hukm Hai? Us Padaane Wale Ke Nikah Me To Na Ayega Aur Ese Shakhs Ki  Imaamat Ka Kya Hukm Hai?Aur Us Par Kuch Kafaara Bhi Lazim Hoga Ya Nahi? Aur Is Nikah Me Jo Log Sharik Hue Unki Nisbat Bhi Irshad Ho, Paish Imaam Ne Iqraar Kia Ke Galti Ho Gayi Hai , Ab Mujhe Musalman Mauf Farmaye. Magar Ek Molvi Sahab Ne Us Se Kah Dia Ke Tum Kah Do "Mujhe Itlah Na Thi Maine Be Khabari Me Nikah Pada Dia, Un Sab Ke Liye Sharan Kya Hukm Hai?_ 


📌 *Irshad:- Jisne Dansta (Janbuzkar) Iddat Me Nikah Padaya, Agar Haraam Jan  Kar Padaya, Shakht Fasiq Aur Zina Ka Dalaal Huwa Magar Us Se Uska Apna  Nikah Na Gaya Aur Agar Iddat Me Nikah Halaal Jana To Khud Uska Nikah Jata Raha Aur Wo Islam Se Kharij Ho Gaya. Behar Haal Uski Imamat Jaiz Nahi. Jab  Tak Tauba Na Kare. Yahi Hukm Sharik Hone Walo Ka Hai , Jo Na Janta Tha Ke Nikah Paish E Az Iddat (Yani Takmil E Iddat Se Pehle) Ho Raha Hai Us Par Ilzam Nahi Aur Jo Danista Sharif Huwa , Agar Haram Jan Kar To Sakht Gunahgar Huwa Aur Halaal Jana To Islam Bhi Gaya. Aur Wo Shakhs Jisne Imaam Ko Jhooth Bolne Ki Talim Di Sakht Gunahgar Huwa, Us Par Tauba Farz Hai.*

 

💫 *Maike Me Rahne Wali Aurat Ka Naan Naftah*💫


💎 _*Arz:-* Hinda Ke Nikah Wa Rukhsat Ko Do Sal Hue. Rukhsat Ke Bad Sirf 14 , 15  Roz Ke Shohar Ke Yaha (Shohar Ke Ghar) Rahi Phir Apne Maike Chali Ai, Jab Se Na Shohar Bulata Hai Na Roti Kapda Deta Hai Aur Hinda Ka Mehar Nasf Mu'ajal Aur Nisf Muwjal Hai Ab Sharan Wo Nisf Mu'ajal Aur Naan Nafta (Yani Kharcha) Mil Sakta Hai Ya Nahi?_

 

📌 *Irshad:- Haan! Nisf Mu'ajal Ka Abhi Ya Jab Chahe Dawa Kar Sakti Hai.* 

📚 *(Fatwa E Hindia)*

 

💎 _Aur Agar Wo Shohar Ke Yaha Jane Se Inkari Ho Kar Na Bethhi Balke Waha Jana Chahti Hai Aur Shohar Nahi Aane Deta To Nan Nafqa Bnhi Mushaq Hai, Magar Jitna Zaman Guzar Liya Uska Dawa Nahi Kar Sakti Jab Tak Kuch Mawar Muqar Na Ho Gaya._


💫 *Dauraan E Iddat Nikah Ka Hukm*💫 


📌 *(Phir Ek Istfata Paish Huwa) Ke Zaid Ne Apni Aurat Ko Talaq Di, Do Tin Roz Ke Bad Dusre Shakhs Ne Nikah Kar Liya. Abhi Iddat Na Guzari Thi, Aua Us Ka Nikah Huwa Ya Nahi? Aur Agar Nahi Huwa To 30 Baras Tak Usne Haram Kia Aur Wo Haram Ka Murtakab Hua.*

_Ab Hum Biradari Wale Us Par Jurmana Dalna Chahte Hai, Shariat Kya Hukm Deti Hai? Hum Use Saza Bhi Dena Chahte Hai Jo Sharai Farmaye. Wo Saza Hum Use De Ya Use Biradari Se Juda Kar De, Ya Kuch Logo Ko Khana Khila De?_ 


📌 *Irshad:- Wo Nikah Nahi Huwa Haram Mehaj Huwa, Aur Mard O Aurat Par Farz Hai Ke Fauran Juda Ho Jaye, Na Mane To Biradari Wale Unhe Qatan Biradari Se Kharij Kar De, Un Se Mail Jhol,Bol Chal, Nishbat Bar Khasat (Uthna Bethhana) Yak Lakht Fauran) Tark Kar De. Uske Siwa Yaha Aur Kya Saza Ho Sakti Hai Aur Jabran Khana Dalna Ya Jurmana Lena Jaiz Nahi.*


*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 93,94,95.*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites