✨ _*Arz:* Huzur Khulfa E Rashdeen Ke Zamana Me Bhi Firqa Wahabiyah Tha?_
📌 *Irshad: Han Yahi Wo Firqa Hai Jise Abdullah Bin Abbas Radiallahu Ta'la Anho Ne Ameer Ul Mominin Hazrat Ali Karamullah Wz Ul Karim Se Fahmaish (Nasiyat) Ki Ijazat Chahi Thi Aur Bahukm E Ameer Ul Mominin (Radiallahu Ta'la Anho) Tashrif Le Gaye Aur Un Se Pucha : Kya Bat Ameer Ul Mominin (Radiallahu Ta'la Anho) Ki Tum Ko Napasand Ayi? Unhone Waqiah Safin Me Abu Musa Ash'hari (Radiallahu Ta'la Anho) Ko Hakam Banaya Yeh Shirk Huwa Ke Allah Ta'la Farmata Hai :*
✨ _Hakm Nahi Magar Allah Azwajjal Ke Liye._
📚 *[Surah Yusuf Ayat 67]*
📍 *Ibne Abbas Radiallahu Ta'la Anho Ne Farmaya: Isi Quraan E Karim Me Yeh Ayat Bhi To Hai :*
✨ _Zan Aur Shohar Me Khusmat (Jagda) Ho Ek Hakm Uski Tarf Se Bhejo Ek Hakm Iski Taraf Se._
📖 *[Surah Nisa Ayat 35]*
📌 *Agar Wo Dono Islah Chahege To Allah Azwajjal Me Mail (Milap) Kar Dega.
Dekho Wahi Tariqa Istedalal (Dalil Pakadne Ka Tariqa) Hai Jo Wahbiyah Ka Hota Hai Ilm E Gaib Wa Imadad Wagera Huma Me Zati (Yani Kisi Ke Diye Bagair Hasil Hone Wali Shay) Wa Atai (Yani Allah Ki Ata Se Hasil Hone Wali Shay) Ke Farq Se Ankh Band Aur Nafi Ki Ayato Par Dawa E Imaan Aur Ashbat Ki Ayato Se Kufr. Is Jawab Ko Sun Kar Unme Se Panch Hazar Taib (Tauba Karne Wale) Hue Aur Panch Hazar Ke Sar Par Maut Sawar Thi, Wo Apni Shaitnat (Burai) Par Qayam Rahe. Ameer Ul Mominin (Radiallahu Ta'la Anho) Ne Unke Qatal Ka Hukm Farmaya. Imaam E Hasan Wa Imaam E Husain Aur Digar Akarbir Radiallahu Ta'la Anho Ko Unke Qatal Me Tamal (Yani Jhichak Mehsoos Hui) Ke Yeh Qau, Rat Bhar Tahjud Aur Din Rat Tilawat Me Basr Karti Hai Hum Kyonkar Un Par Talwar Uthhaye Magar Ameer Ul Mominin (Radiallahu Ta'la Anho Ko To Huzur Alam Makan Wama Yakun ﷺ (Yani Mazi Aur Mustabil Ka Hal Janane Wale) Ne Khabar De Di Thi Ke Namaz Roza Wagera Zahir Amal Ke Bashidat Paband Hoge, Baye Hum (Yani Un Sab Ke Bawajud Deen Se Esa Nikal Jayege Jaise Teer Nishane Se, Quraan Padege Magar Unke Galo Se Niche Nahi Utarega.*
📖 *[Jameh Tirmizi]*
✨ _Ameer Ul Mominin Radiallahu Ta'la Anho Ke Hukm Se Lashkar Un Ke Qatal Par Majbur Huwa, Aain Ma'r Ke Me Khabar Aai Ke Wo Nahr Ke Us Paar Utarege. Ameer Ul Mominin (Radiallahu Ta'la Anho) Ne Farmaya : : Wallah In Me Se Das Us Par Na Jane Payege, Sab Isi Taraf Qatal Hoge. Jab Sab Qatla Ho Chuke Ameer Ul Mominin (Radiallahu Ta'la Anho Ne Logo Ko Dilo Se Un Ke Taqwa Wa Taharat Wa Tajdeed Wa Tilawat Ka Wo Khadsa Dafah (Yani Dur) Karne Ke Liye Farmaya : "Talash Karo, Agar Unme Jowshad'h (Pistaan Wala) Paya Jaye To Tumne Bad Tarin Ahl Zamin Ko Qatal Kia, Aur Agar Wo Na To Tumne Behtrin Ahl Zamin Ko Qatal Kia. "Talash Kia Gaya, Lasho Ke Niche Nikala Jis Ka Ek Hath Pishtar Zan Ke Mushaba Tha. Ameer Ul Mominin (Radiallahu Ta'la Anho Ne Takbir Kahi Aur Hamd E Illahi Azwajjal Baja Laye Aur Lashkar Ke Dil Ka Shuba Is Gair Ki Khabar Batane Aur Mutabiq Se Zail Ho Gaya. Kisi Ne Kaha. 'Hamd Hia Use Jisne Unki Najasat Se Zamin Ko Paak Kia" Ameer Ul Mominin (Radiallahu Ta'la Anho) Ne Farmaya Ke Kya Samjte Ho Ke Yeh Log Khatam Ho Gaye? Hargiz Nahi , Unme Se Kuch Ma Ke Pet Me Hai Kuch Baap Ki Pithh Me. Jab Un Me Se Ek Halak Hoga Dusra Sar Uthhayega._
📖 *[Al Khasais Ul Kubra]*
📌 *_Yaha Tak Ke Unka Pichhala Giro Dajaal Ke Sath Nikalega_*
📖 *[Musnad Imaam Ahmad]*
*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 129,130,131.*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment