*【POST 55】Qaza Namaze Kaise Ada Kare?*💫

✨ _*Arz: :* Baz Hazirin Ne Arz Kia Ke Huzur Duniawi Makruhaat (Napasndida 

Mamlat) Ne Esa Ghera Hai Ke Roz Iradaa Karta Hun Aj Qaza Namze Ada Karna Shuru Karuga Magar Nahi Hota. Kya Yun Ada Karu Ke Pehle Tamam Namaze

Fajar Ki Ada Kar Lu Phir Zohar Ki Phir Aur Auqat Ki, To Koi Harj Hai Mujhe Yeh Bhi Yad Nahi Kitni Namaze Qaza Hui Hai. Esi Saurat Me Kya Karna Chaiye?_


📍 *Irshad: Qaza Namaze Jald Se Jald Ada Karna Lazim Hai.*

📖 *[Rad Ul Mohtaar Daur Mukhtaar]*


📌 *Na Malum Kis Waqt Maut Aa Jaye, Kya Mushkil Hai Ek Din Ki 20 Raqat Hoti 

Hai (Yani Fajar Ke FArzo Ki Do Raqat Aur Zohar Ki Char Aur Asar Ki Char Magrib Ki 3 Aur Isha Ki Sat Yani Char FArz Tin Witar) Namazo Ko Siwa E Tulu E Gurub Wa Zawal Ke (Us Waqt Sajda Haram Hai) Har Waqt Ada Kar Sakta Hai' Aur Ikhtiyaar Hai Ke Pehle Fajar Ki Sab Ada Kar Le , Phir Zohar Ki , Phir Asar Phir Magrib, Phir Isha Ki Ya Sab Namaze Sath Sath Ada Karta Jaye Aur Inka Esa Hisab Lagaye E Takhmina (Andaza) Me Baqi Na Rah Jaye Zayda Ho Jaye To Har Nahi Aur Wo Sab Ba Qadr E Rafta Rafta Jald Ada Kar Le, Kalhi Na Kare. Jab Tak FArz Zima Par Baqi Rahta Hai Nafal Qabul Nahi Kia Jata. Niyat Un Namazo Ki Is Tarah Ho Mashlan Subar Ki Fajar Qaza Hai To Har Bar Yun Kahe Ke Sab Se Pehle Jo Fajar Mujh Se Qaza Hui. Har Dafah Yahi Kahe, Yani Jab Ek Ada Hui To Baqiyon Me Jo Sab Se Pehli Hai Usi Tarah Zohar Wagera Namaz Me Niyat Kare Jis Par Boht Si Namaze Qaza Ho.*


*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 139,140.*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites