✨ _*Arz: :* Huzur Namazi Ke Samane Se Nikalne Ke Liye Kitna Fasla Darkar Hai?_
📌 *Irshad: Khash'ain (Yani Zahiri Wa Batni Adab Ki Ri'ayat Karte Hue Mukmal Tawaja Rakhne Walo ) Ki Si Namaz Pade Ke Qayam Me Nazar Mauz E Sujud (Yani Sajde Ki Jagah) Par Jamai To Nazar Ka Qaida Hai Jaha Jamai Jaye Us Se Aage Kuch Badti Hai. Mere Tajurbe Me Yeh Jagah Tin Gaz Hai Yaha Tak Nikalne Mutlqan Jaiz Nahi, Is Se Bahar Sahra Aur Badi Masjid Me Nikal Sakta Hai. Makaan Aur Chhoti Masjid Diwwar E Qabl Takk Samne Nahi Ja Sakta. Fuqah E Kiram Ne Jis Ko Badi Masjid Farmaya Hai, Yaha Koi Nahi Siwa E Masjid E Khawarzam Ke Jiska Ek Rabah (Chothai) Har Hazar Tin Sutun Par Hai, Badi Masjid Hai Ya Masjid E Haram Sharif Me Namazi Ke Samne Se Tawaf Jaiz Hai. Ke Wo Mishl E Namaz Ibadat Hai.*
📍 *Agar Koi Samne Se Guzar Jaye To Namazi Kya Kare?*
✨ _(Isi Silsile Me Farmaya Ke ) Agar Koi Shakhs Tanha Apne Ghar Ya Masjid Me Namaz Pa Raha Hai Aur Dusra Shakhs Dustak De Ya Masjid Me Namazi Ke Samne Se Niklan Chahta Ho To Namazi Ko Agah Karne Ki Garz Se Bajahar (Baawaz E Buland) La Illa Illah Kah De Aur Agar Namaz Me Bacha Samne Akar Bethh Jaye To Usko Hata De Agar Takht Par Pad Raha Ho Aur Bache Ke Gir Jane Ka Ahtmal Ho To Usko God Me Utha Le. Khud Huzur Aqdas ﷺ Ne Hazrat Umama Bin Zainab Radiallahu Ta'la Anho Ko Godh Me Lekar Namaz Padi Hai._
📖 *[Sahi Bukhari Kitab Ul Salaat]*
📌 *Agar Bache Ke Kapde Ya Badan Me Najasat Lagi Hai Aur Wo Is Qabil Hia Ke God Me Khud Ruk Sakta Hai To Namaz Jaiz Hai Ke Bacha Hamil E Najsat (Najasat Uthane Wala) Hai, Warna Namaz Na Hogi Ke Ab Yeh Khud Hamil E
Najasat Huwa.*
📖 *[Aldaur E Mukhtar]*
💫 *Nabuwat Ka Jhhotha Dawa Karne Wale Se Maujiza Talab Karna Kaisa?*💫
✨ _*Arz:-* Jhoothe Mudai E Nabuwat Se Maujiza Talab Kai Ja Sakta Hai?_
📌 *Irshad: Agar Mudai Nabuwat Se Is Khayal Se Ke Uska Ajza Zahir Ho Maujiza Talab Kare To Harz Nahi Aur Agar Tahqeek Ke Liye Maujiza Talab Kia Ke
Maujiza Bhi Dikha Sakta Hai Ya Nahi To Fauran Kafir Ho Gaya.*
📖 *[Fatwa E Hindiyah]*
*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 151,152.*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment