📌 *Isi Tazkire Me Farmaya: Mubahise Me Log Yeh Shart Kar Lete Hai Ke "Jo Sakit (Lajawab) Ho Jayega Wo Dusre Ka Mazhab Ikhtiyar Kar Lega. Yeh Sakht Haram Hai Aur Ashad Himaqat Hai. Hum Agar Kisi Se Lajawab Bhi Ho Jaye To Mazhab Par Koi Ilzam Nahi Ke Humare Muqdas Mazhab Ka Madar Hum Par Nahi, Hum Insan Hai Is Waqt Jawab Khayal Me Na Aya.*
💫 *Tahriri Baat Chhit Ke Fawaid.*💫
📌 *Maulif : Is Waqt Maulana Molvi Naimudeen Sahab Aur Maulna Molvio Zafur Deen Sahab Aur Maulana Molvi Ahmad Ikhtkhar Sahab Sidiq Merathi Aur Maulna Molvi Ahmad Ali Sahab Merathi Wa Maulaana Molvi Rehamillahi Sahb Nazim E Anjuman E Sunnat Wa Mudris Madarsa Ahl Sunnat Wa Maulana Molvi Amjad Ali Sahab Mudris Madrsa Ahl Sunnat Wa Muhtam Matbah Ahl Sunnat Wagera Hazrat Ulma E Kiram (Rehamtullah Allay) Hazir E Khidmat They. Anjuman Ke Ariyah Narya Ke Muqabil Jalse Ho Rahe They. Yeh Sab Hazrat
Jalsa Munazar Se Muzfar Wa Mansur (Kamyab Wa Kamraan) Wapas Aye They, Ram Chand Munazir Ariyah Ki Charb Zubaani Aur Behayayi Ka Zikr Ho Raha Tha Ke Bat Samjen Ki Liyaqat Nahi Rakhta, Be Hayayi Kuch Na Kuch Kahe Zaroor Jata Hai.*
✨ _Is Par Irshad Farmaya Sakht Galti Hai Ke Eso Se Zubani Batchit Ho, Iska Hasil Yahi Hota Hai Ke Wo Kuch Na Kuch Bak Jayega Jis Se Lo G Jane Ke Bada Muqrir Hai, Barabar Jawab De Raha Hai. Insaan Me Yeh Quwat Nahi Ke Zuban E Band Kar De, Behaya Kufaar Allah Azwajjal Ke Huzur Na Chhukege Waha Bhi Zuban Chali Hi Jayegi, Yaha Tak Muh Par Mohar Farmai Jayegi Aur Aza Ko Hukm Hoga Bol Chalo._
📖 *Tarjumah :
Aj Hum Unke Munho Par Mohar Kar Dege Aur Unke Hath Hum Se Bat Karege Aur Unke Pao Hum Ke Kiye Ki Gawahi Dege.*
📖 *[Suray Yasin Ayat 65]*
✨ _To Eso Se Humesha Tahriri Guftgu Hona Chaiye, Ke Munkirne Badalne Bachlne Ki Gali Na Rahe. Boht Dhoka Hota Hai Ke Wahabiyah Wagear Se Firoi Masail Par Guftgu Kar Bethhate Hai. Wahabi Gair Muqlid Qadiyani Wagera To Chahte Hi Yah Hai Ke Usool Chordh Kar Masail Me Guftgu Ho, Unhe Hargiz Mauqah Na Dia Jaye. Un Se Yahi Kaha Jaye Ke Tum Islam Ke Dayre Me Alo, Apna Musalman Hona To Sabit Kar Lo Phir Firao Masail Me Guftgu Ka Haq Hoga._
💫 *Mulaqaat Se Wapsi Par Musafa Ka Hukm.*💫
✨ _*Arz: :* Musafa Wapsi Ke Wqt Karne Ki Mumaniyat Farmai Gayi Hai?_
📌 *Irshad: Nahi. Ashab E Nabi ﷺ Jab Apas Me Milte They They Musafa Farmate. Aur Jab Rukhsat Hote Mu'anaqa Karte (Yani Gale Milte.)*
*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 153,154.*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment