✨ _*Arz:-* Muanaqa Ek Janib Ya Dono Se Kare?_
📌 *Irshad: Ek Taraf Se Bhi Ho Ajeyga Lekin Arab Sharif Me Dono Taraf Se Karte Hai.*
💫 *Namaz Ke Bad Musafa Karna Kaisa?*
✨ _*Arz:-* Namaz E Jumuah Ya Edein Ya Bad Salat Panjgana Musafa Karna Kaisa Hai?_
📌 *Irshad: Jaiz Hai. Nasim Ul Riyaz Me Hai Zyada Sahi Bat Yeh Hai Ke Yeh Jaiz Bidat Hai.*
📖 *[Tafsir Riyaz]*
💫 *Azaan E Roza E Anwar Ki Taraf Muh Karne Ka Hukm.*💫
✨ _*Arz:* Azan Me Nam E Aqdas ﷺ Lete Waqt Roza Munwara Ki Taraf Muh Kar
Sakta Hai?_
📌 *Irshad: Khilaaf E Sunnat Hai Siwa Haya Al Salat Aur Haya Al Falah Ke Aur Kisi Kalma Par Kisi Taraf Muh Nahi Pher Sakta Ya Khutba Me Azjalahu Wa ﷺ Kahe Yeh Qabli Mahabat Nahi, Qalbi Mahabbat Wahi Hai Ke Sharait Ke Dayre Me Rahe Isme Apni Islah Ki Mudakhlat Na Kare Albata Khutba Me Agar Kalma Sharif Khatib Pade To Rafeh Sabab Karne (Shahadat Ki Ungli Uthhane) Me Koi Harj Nahi.*
💫 *Gunah E Kabira Aur Sagira Me Farq.*
✨ _*Arz:-* Gunah E Kabira Wa Sagira Me Kya Farq Hai?_
📌 *Irshad: Gunah E Kabira 700 Hai. Al Jameh Ul Ahkam Ul Quraan Al Qurtabi) Unki Tafsil Boht Tawil. Allah Azwajjal Ki Ma'asiayt Jis Qadr Hai Sab Kabira Hai. Agar Sagir Wa Kabira Ko Alhida Shumar Karaya Jaye To Log Sagaar (Sagira Gunaho) Ko Halka Samjege, Wo Kabira Se Bhi Badatar Ho Jayega. Jis Gunah Ko Halka Jaan Kar Karega Wahi Kabira Hai. Unke Imtiyaz Ke Liye Sirf Is Qadr Kafi Hai Ke Farz Ka Tark Kabira Hai Aur Wajib Ka Sagira. Jo Gunah Bebaki Aur Israar Se Kia Jaye Wo Kabira Hai.*
💫 *Konsi Aurtein Gair Mahram Ke Haan Ja Sakti Hai?*💫
✨ _*Arz: :* Kon Kon Aurtein Gair Mahram Ke Yaha Jaa Sakti Hai?_
📌 *Irshad: Mariza, Gasila (Yani Aurat Ki Mayat Ko Gusal Dene Wali) Qabila (Dai) Ka Gair Maharam Ke Yaha Jana Jaiz Hai.*
📖 *[Rad Ul Mohtaar Al Daur E Mukhtaar]*
*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 155,156.*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment