*【POST 68】Azaab Ruh Par Hota Hai Ya Jism Par?*💫

✨ _*Arz:* Azaab Faqat Ruh Par Hota Hai Ya Jism Par Bhi?_

📌 *Irshad: Ruh Wa Jism Dono Par Hota Hai Yuhi Sawab Bhi.*

📖 *[Sharah Aqaid Nasfiyah]*


💫 *Langade Aur Andhe Ki Hikayat.*💫


📖 *Hadees Me Hai: Ek Lanja (Langada) Kisi Bag Ke Samne Pada Tha Aur Mewe Dekh Raha Tha ,Magar Us Tak Jana Na Sakta Tha. Itefaqan Ek Andhe Ka Us Taraf Guzar Huwa Ke Bag Me Ja Sakta Tha Magar Mewe Use Nazar Na Ate. Lanjhe Ne Andhe Se Kaha : "Tu Mujhe Baag Me Le Chal, Waha Ja Kar Hum Aur Tum Dono Mewe Khaye". Andha Usko Apni Gardan Par Sawar Kar Ke Bag Me Le Gaya, Lanje Ne Meve Tode Aur Dono Ne Khaye. Is Surat Me Kon Mujrim Hoga? Dono Hi Hi Mujrim Hai. Andha "Jism" Hai Aur Lanja "Ruh".*


💫 *Har Ek Ke Sath Kitni Ruhe Hoti Hai?*


✨ _*Arz:* Har Ek Ke Sath Kitni Ruhe Hai?_

📌 *Irshad: Sirf Ek Ruh Hai Agar Musalman Hai To Ailiyan (Yani Jannat Ala) Me Aur Kafir Hai To Sijin Me. Jo Shakhs Qabr Par Jata Hai Usko Bakhubi Dukhti Hai, Uski Baat Santi Samjti Hai. Marne Ke Bad Ruh Ka Irdraak Beshumar Pada Jata Hai Khawa Musalman Ki Ho Ya Kafir Ki. Shah Abdul Aziz Sahab Farmate Hai : Ruh Ko Qurb Wa Bad Makaani Yaksa Hai (Yani Ruh Ke Liye Kisi Chiz Ka Dur O Nazdik Hona Brabar Hai.) Ruh E Basr (Yani Binai Ki Ruh) Ko Dekh Kuwe Ke Andar Se Sitaro Ko Dekhti Hai Yani Nigah Uthhati Hai Zamin Se Falak Sawab Tak Pohchti Hai Jo Yaha Se Aath Hazar Baras Ki Rah Par Hai. Hadees Me Ruh Zinda Murad Ki Mishal Parinde Ki Farmai Jab Ke Pinjre Me Band Hai Uske Layaq Par Khol Sakta Hai Jab Qafs (Yani Qaid) Se Nikaal Do Phir Uski Udaan Dekho.*


💫 *Qabar Khodne Par Murde Ki Hadiyah Mile To.*💫


✨ _*Arz:* Qabar Khodi Waha Murde Ki Hadiyah Nikale To Kya Kya Jaye?_

📌 *Irshad:Agar Aur Jagah Mil Sakti Hai To Hargiz Us Me Dafan Na Akre Aur Us Qabr Ko Ba Surat Durusat Kar De Warna Un Hadiyo Ko Ek Taraf Rakh Kar Hayl Ka Fasal De Kar (Yani Darmiyan Me Koi Chiz Rakh Kar) Usko Dafan Kare, Aur Agar Yeh Malum Ho Ke Pehle Yaha Qabar Thi Agar Che Ab Yaha Nishan Baqi Na Raha To Us Surat Me Wahab Qabar Khodna Jaiz Nahi , Han Agar Koi Aur Jagah Na Mil Sake Aur Yeh Qabar Purani Ho Chuki To Majburan Jaiz Hai.*


💫 *Darhi Mundana Aur Katarwana Gunah E Sagira Hai Ya Kabira?*💫


✨ _*Arz: :* Darhi Mundwana Aur Katrwana Gunah E Sagira Hai Ya Kabira?_

📌 *Irshad: Katarwana Ya Mundana Ek Dafa Ka Sagira Gunah Hia Aur Adat Se 

Kabira Jis Se Fasiq E Mal'aun (Elaniyah Kabira Gunah Karne Wala) Ho Jayega, Iske Pichhe Namaz Makruh E Tahrimi Ke Padhni Gunah Aur Pherni Wajib, Agar Ihada Na Kia Gaya ( Dubara Na Pardhi To) Gunahgar Hoga.*


*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 161,162,163.*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites