📌 *Ek Roz Hazrat Maulana Shah Syed Ahmad Ashraf Sahab Kichhochwi (Allayrehma) Tashrif Laye Hue They. Rukhsat Ke Waqt Unhone Arz Kia Ke Molvi Syed Mohammad Sahab Asharafi Apne Bhanje Ko, Me Chahta Hun Ke Huzur Ki Khidmat Me Hazar Kardu, Huzur Jo Munasib Khayal Farmaye Unse Kaam Le, Irshad Huwa : "Zaroor Tashrif Laye Yaha Fatwe Likhe Aur Madrse Me Dars Dey." Rad Wahabiyah Aur Itfa " Yeh Dono Ese Fan Hai Ke Tab Ki Tarah Yeh Bhi Sirf Padne Se Nahi Ate Un Me Bhi Tabib E Haziq (Mahir Tabib) Ke Mutb Me Bethhane Ki Zaroorat Hai. Main Bhi Ek Tabib E Haziq Ke Mutab Me Sat Baras Bethha, Mujhe Wo Waqt , Wo Din , Wo Jagah , Wo Masail Aur Jaha Se Wo Aaye They Achi Tarah Yad Hai. Maine Ek Bar Ek Nihayat Paichida Hukm Ko Badi Koshish Wa Janfsani (Jan Tod Mehnat) Se Nikala Aur Uski Taidat Tanqih (Zaid Kalam Nikalne Ke Bad) Aath Warq Me Jamah Kiye Magar Jab Hazrat Walid Majid Quds Sira Ke Huzur Me Paish Kia To Unhone Ek Jumla Esa Farmaya Ke Us Se Yeh Sab Warq Rad Ho Gaye. Wahi Jumle Ab Tak Dil Me
Pade Hue Hai, Aur Qalb Me Ab Tak Un Ka Asar Baqi Hai. Khud Satai (Yani Apne Muh Se Apni Tarif Karna) Jaiz Nahi Magar Waqt E Hajat, Izhar E Haqiqat Tahdis E Naimat Hai (Yani Zarooart Ke Waqt Haqiqat Ke Izhar Ke Liye Apni Taraif Khud Karne Ki Ijazat Par Amal Hai.)*
📍 *Syedna Yusuf Allaysallam Ne Badhshah E Misr Se Farmaya:*
✨ _Zamin Ke Khazane Mere Hath Me De De Beshak Main Hifz Wala Hu Aur Ilm Wala Hun_
📖 *[Surah Yusuf Ayat 55]*
📌 *Bafazl E Rehmat E Illahi Azwajjal Phir Ba'aun Wa Inayat E Risalat Panahi ﷺ
(Allah Ke Rasool Allaysalato Taslim Ke Mad O Inayat Se) Ifta Aur Rad E Wahabiyah Ke Dono Kamil Fan Dono Nihayat Aali Fan Unhe Yaha Se Ache In Sha Allah Ta'la Hindustaan Me Kahi Na Payega, Gair Mumalik Ke Baabat (Bare Me) Nahi Kahta. Main Har Shakhs Ko Batib E Khatir (Bakhubi) Sikhane Ko Tayar Hu. Syed Mohammad Asharfa Sahab To Mere Shahzade Hai, Mere Pass Jo Kuch Hai Wo Unhi Ke Jad E Amjad Yani Huzur Syedna Gaus E Azam Radiallahu Ta'la Anho Ka Sadqa Wa Atiyah Hai. Aapke Yaha Maujud E Den Me Tafqa Jiska Naam Wo Molvi Ajmad Ali Sahab Allayrehma Me Zayda Wo Payega. Iski Wajh Yahi Hai Ke Wo Istfata (Sawalat) Sunaya Karte Hai Aur Jo Main Jawab Deta Hun Likhte Ahi, Tabiyat Wale Bhi Mu'adam (Nayab) Hai. Halake Aima E Deen Ne Ise Farz E Kifaya Bataya Hai.*
📖 *[Tafsir Ruh Ul Bayan]*
✨ _Ulma E Maujudeen To Koi Itna Bhi Nahi Janta Ke Fulah Din Aftaab Kab Tuluh Hoga Aur Kab Gurub. Boht Si Amar Guzar Gayi Thodi Baqi Hai, Jin Sahab Ko Jo Kuch Lena Ho Wo Hasil Karle._
📌 *Mujhe Gugm Karne Se Pehle Yani Meri Maut Se Pehle Muj Se Puchh Lo. Hazrat Maula Ali Karamullah Waz Ul Karim Ka Irshad Hai.*
📖 *[Al Mustdark Ul Sahihain]*
✨ _Aur Shaikh Sa'adi Alayrehma Ka Qaul Bilkul Sahi Hai “Naimat Ki Qadr Uske Zayil Hone Ke Bad Malum Hoti Hai.”_
*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 163,164.*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment