📌 *Haroon Rasheed Jaise Jabar Badhshah Ne Mamun Rashid Ki Talim Ke Liye
Imaam E Kisai Se (Jo Imaam Mohammad Rehamtullah Allay Ke Khalazad Bhai Aur Ajl Ulma Qura Sab'a Me Se Hai.) Arz Kia. Farmaya "Main Yaha Padane Na Aauga, Shehzada Mere Hi Makaan Par Aa Jaya Kare."Haroon Rashid Ne Arz Ki: "Wo Wahi Hazir Ho Jaya Karege Magar Uske Sabaq Pehle Ho." Farmaya ; "Yeh Bhi Na Hoga Balke Jo Pehle Ayega Uska Sabaq Pehle Hoga. "Garz Mamun Rashid Ne Padhna Shuru Kia. Itefaqan Ek Roz Haroon Rashid Ka Guzar Huwa, Dekha Ke Imaam Kusai Apne Pao Dho Rahe Hai Aur Mamun Rashid Pani Dalta Hai. Badhshah Gazabnaak Hokar Utara Aur Mamun Rashid Ke Koda Mara, Aur Kaha : "Aey Beadab ! Khudane Do Hath Kis Liye Diye Hai Ek Hath Se Pani Dal Aur Dusre Hath Se Unka Pao Dho."*
💫 *Ilm Ki Izzat.* 💫
✨ _Ek Martaba Haroo Rashid Ne Abu Mawiyah Aziz Ki Dawat Ki Wo Aankho Se Mazur They. Jab Aftaaba (Yani Dhaknedar Dasta Laga Huwa Lauta) Aur Chalamchi (Hath Muh Dhone Ka Bartan) Hath Dhone Ke Liye Layi Gayi To Chalamchi Khidmatgar Ko Di Aur Aftaaba Khud Lekar Unke Hath Dhulaye Aur Kaha : "Aapne Jana Kon Aapke Hath Par Paani Dal Raha Hai?" Kaha : "Nahi".Kaha : Haroon. (Unhone ) Kaha Jaisi Aapne Ilm Ki Izzat Ki Esi Allah (Azwajjal) Aapki Izzat Kare. Haroon Rashid Ne Kaha Isi Dua Ke Hasil Karne Ke Liye Yeh Kia Tha._
📖 *[Tarikh Bagdaad]*
💫 *Ulma E Kiram Ka Ahtraam.* 💫
📌 *Haroon Rashid Ke Darbaar Me Jab Koi Aalim Tashrif Laate, Badhsha Unki Tazim Ke Liye Saroqad (Yani Saro Ke Darkhat Ki Tarah Bilkul Sidha) Khada Hota. Ek Bar Darbariyo Ne Arz Kia : "Ya Ameer Ul Mominin Ra'ab Saltnat Jata Hai. "Jawaab Dia :"Agar Ulma E Deen Ki Tazim Se Raub E Saltnat Jata Hai To Jane Hi Ke Qabil Hai. "Yahi Wajh Thi Ke Haroon Rashid Ka Raub Ruh E Zamin Ke Badhshaho Par Badarja Atam (Yani Boht Zayda) Tha. Salateen E Nasara (Isai Badhshah) Uska Naam Lete Thartarate They.*
*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 168,169.*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment