*【POST 73】Isai Ka Beta.*💫

📌 *Takht E Qustuntunia Par Ek Isai Aurat Hukmraan Thi Aur Wo Har Sal Khiraj Ada Karti. Jab Wo Mar Gayi To Uska Beta Takht Par Bethha Aur Khiraj Na Hazir Kia. Idhar Se Khiraj Ma Mutlaba Huwa To Usne Hazrat Haroon Rashid Ki Khidmat Me Ek Qasid Ke Hath Is Mazmun Ki Tahrir Bheji Ke:*


✨ _"Wo Mar Gayi Jo Khud Payda Bani Thi Aur Ab Rukh Banaya Tha" (Yani Meri Maa Jisne Aapki Bala Dasti Qabul Ki Thi Wo Mar Chuki Hai, Ab Mere Sath Apka Koi Muamla Nahi)_


📌 *Yeh Tahrir Lekar Elichi Jab Hazir E Darbar Huwua , Wazir Ko Hukm Huwa Sunao ! Wazir Ne Use Dekh Kar Arz Ki : "Huzur Mujh Me Taab Nahi Jo Ise Suna Saku. "Farmaya : "Lao Mujhe Dey." Aur Is Tahrir Ko Pada. Badhshah Ko Dekhte Hi Esa Jalaal Aya Jise Dekh Kar Tamaam Darbar Bhag Gaya. Sirf Wazir Aur Elihichi Rah Gaye. Wazir Ko Hukm Huwa Ke Jawab Likh ! Usne Irada Likhne Ka Kya Magar Rauab E Shahi Is Qadr Galib Tha Ke Hath Thhartharane Laga Aur Qalam Na Chala. Phir Farmaya : "Aur Yun Likha :*


✨ _"Yeh Khat Hai Khuda Ke Bande Ameer Ul Mominin Haroon Rashid Ki Taraf Se 

Room Ke Kute Falah Ko Ke Aukafra Ke Jane! Jawab Wo Nahi Jo Tu Sune Jawab Wo Hai Jo Tu Dekhega."_


📌 *Yeh Farmaan Qasid Ko Dia Aur Fauran Lashkar Ko Tayari Ka Hukm Dia. Qasid 

Ke Sath Lashkar Le Kar Pohche Aur Jate Hi Qustuntunia Ko Fatah Kar Ke Us Badshah Isai Ko Girftaar Kar Liya. Usne Boht Giriyahzari Ki, Hath Pao Jorde, Khiraj Dene Ka Wada Kia, Chhordh Dia Aur Taaj Bakhshi Karke Wapas Aaye. Abi Ek Manzil Aye They Ke Khabar Pai : Usne Phir Sartaabi Ki. Fauran Wapas Gaye Aur Phir Fatah Kia Aur Phir Use Girftaar Kia.*

📖 *[Al Kaamil Fi Al Tarikh]*


✨ _Phir Usne Hath Jordhe Aur Khushshamid Ki Phir Chordh Dia. Ese Jabbar 

Badhshah Ki Ulma Ke Sath Yeh Tarz E Tazimi Thi._


💫 *Sajde Me Qurb E Illahi.*💫


✨ _Arz: : Badno Ko Qurb E Illahi Ka Martaba Elawa Wo Namaz Bhi Hota Hai?_

📌 *Irshad: Han Har Sajde Me Rab (Azwajjal) Ke Qarib Hota Hai. (Sahi Muslim) Aur Sajde Char Qism Ke Hai : 1 Sajda E Namaz 2 Sajda E Tilawat 3 Sajda E Sau 4 Sajda E Shukr*


*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 169,170.*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites