*【POST 76】Quran Paak Ko 30 Paro Me Kisne Taqsim Kia?*💫

✨ _*Arz:* Huzur Zamana Sahaba (Allay Rizwan) Me Bhi Quran E Azim Ke Pare Ho Gaye Thye?_

📌 *Irshad: Imaam Jaludeen Suyuti Ne Kitaab Al Itqaan" Me Jis Qadr Ahadees Riwayat Wa Aqwal E Quran Azim Ke Ese Umoor Ke Mutliq Hai Jamah Farma Diye Hai. Usme Paro Ka Kahi Zikr Nahi Jis Se Zahir Hota Hai Ke Unke Waqt Tak Yeh Taqsim Na Thi. Han Ruku Jari Hue 800 Baras Hue. Mashaikh E Kiram Ne Alhumduh Sharif Ke Bad 540 Rakhe Ke Tarawih Ki Har Raqat Me Ek Ruku 

Padne To Sataishwi Shab Me Ke Shab E Qadr Hai Khatam Ho.*


💫 *Ahzaab Wa Ashaar Ka Aagaz Kab Huwa?*💫


✨ _*Arz: :* Yah Ahzaab Wagera Kaise Shuru Hue?_

📌 *Irshad: Ahzaab Wa Ashar Zamana Mubarak Se Hai. Aashar Das Das Ayato Ke Majmuah Ka Naam Tha Yani Sahaba E Kiram Allayrizwan ) Ek Ashar Huzur E Aqdas ﷺ Se Padte Aur Uske Mutliq Uloom Wa Mauruf Jo Un Ke Layaq Hote Un Sab Ko Hasil Karne Ke Bad Dusra Ashar Shuru Karte.*


📍 *Syedna Farooq E Azam Radiallahu Ta'la Anho Ne 12 Baras Me Surah Baqra Sharif Khatam Farmai Aur Bad E Ikhtataam Ek Unt Qurbani Farmaya. Syedna Abdullah Ibne Umar Radiallahu Ta'la Anho Ne Surah Baqra 8 Baras Me Padi.*

📖 *[Shoaib Ul Imaan]*


💫 *Gaane Walo Par Laanat.* 💫


✨ _*Arz:-* Kya Yeh Riwayat Sahi Hai Ke Hazrat Mehboob E Illahi Radiallahu Ta'la Anho Qabar Sharif Me Nange Sar Khade Hue Gaane Walo Par Laanat Farma Rahe They?_

📌 *Irshad:Yeh Waqiah Hazrat Khawza Qutub Deen Bakhtiyar Khaki Rehmatullah Allay Ka Hai Ke Apke Mazar Sharif Par Majlis E Smah Me Qawali Ho Rahi Thi. Ajkal To Logo Ne Boht Ikhtarah Kar Liye Hia, (Yani Nayi Batein Nikal Liye Hai) Nacha Wagera Bhi Karate Hai Halake Us Waqt Bargah Ho Me Mazamir (Alat E Mausiqi) Bhi Na They. Hazrat Syedna Ibrahim Airji Rehamtullah Allay Jo Humare Peeran E Silasila Me Se Hai Bahar Majlis Samah Ke Tashrif Farma They. Ek Sahab Salehin Se Aapke Pass Aye Aur Guzarish Ki Majlis Me Tashrif Le Chale. Hazrat Syedna Ibrahim Airji Rehamtullah Allay Ne Farmaya : "Tum Janane Wale Ho, Mawaja Aqdas Me Hazir Ho, Agar Hazrat Razi Ho Me Abhi Chalta." Unhone Mazar E Aqdas Par Muraqa Kia, Dekha Ke Huzur Qabar Sharif Me Pareshan Khatir Hai Aur Un Qawalo Ki Tara Ishara Karke Farmate Hai:

(Yani Un Badbakhto Ne Mere Auqaat Pareshan Kar Rakhe Hai.) Wo Wapas Aaye Aur Qabl Us Ke Arz Kare, Farmaya : "Aapne Dekha."*


*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 174,175,176.*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites