✨ _Huzur Kaaki Ke Kya Ma'ani Hai Aur Uski Wajh Tasmiyah (Yani Namki Wajh) Kya Hai?_
📌 *Irshad:- Hazrat Khawza Qutub Ul Deen Bakhtiyaar Kaki Rehamtullah Allay Ki
Khidmat Me Chand Musafir Hazir Hue, Huzur Ke Yahaus Waqt Kuch Saman E Khurd Naush (Khane Pine Ka Saman) Maujud Na Tha Gaib Se Kaak (Rotiya) Aayi Jo Sab Ko Kafir Wa Wafi Ho Gayi Jab Se Aap Kaaki Mash'hur Ho Gaye.*
💫 *Jali Hui Roti Aur Kide Wala Chhuhara.* 💫
📌 *(Isi Tazkira Me Farmaya ) Ke Ek Martaba Maulana Fazl E Rasool Sahab Jo Mere Peer O Murshid (Shah Aale Rasool Marerawi) Radiallahu Ta'la Anho Ke Sath Hazrat Maulana Noor Sahab Rehamtullah Allay Se (Jo Maulana Bahrul Uloom Malk Ul Ulma Ke Shagird They) Padte They. Delhi Me They, Jalsa Wahabiyah Me Tashrif Le Gaye. Wahab Hazirin Par Kaak Aur Chuhare Barsa Karte Thye. Chunache Hasb E Dastur Aapke Samne Bhi Bhuchhar Hui Ke Kak Aur Ek Chhuhara Aap Ko Bhi Mila. Aapne Chhuhara Torda To Usme Se Kida Nikala Aur Kak Ka Kirana Jala Huwa. Yeh Dekh Kar Tabsum Kia Aur Ba Awaz E Buland Kaha" "Sahbo Aaj Tka To Suna Karte They Ke Farishtein Bolte Nahi Yeh Kaisa Bhul Gyae Ke Roti Bhi Jala Di Sunte They Ke Jannat Ka Mewa Sadta Galta Nahi, Tajub Hai Ke Chhuharo Me Kide Pade Gaye. 'Is Par Boht Shor O Gul Huwa. Apko Gusa Aya, Parda Ko Hata Dia Jiske Piche Se Yeh Barish Ho Rahi Thi Dekha To Ismail Dehlvi Ka Ek Gulaam Jiska Naam Abdul Latif Tha Ek Jholi Me Kaak Aur Ek Me Chhuhare Le Bethha Hai. Parda Hatate Hi Parda Faash Ho Gaya.*
✨ _Iske Baad Hazrat Maulana Fazal Rasool Sahab Delhi Se Lakhnow Hazrat Maulana Noor Rehamtullah Allay Ki Khidmat Me Hazir Hue. Andar Se Khabar Aai Ke Ane Ki Mumaniat Hai. Aap Chokhat Par Beth Gaye Aur Rone Lage Aur Arz Ki Ke "Meri Kya Khata Hia Malum Ho Ke Wo Qabil E Maufi Bhi Hai Ya Nahi?" Jab Boht Der Guzar Gayi Ot Maulana Noor Sahab Rehamtulah Allay Bahar Tashrif Laye Aur Farmaya: "Tumhe Maine Isliye Padaya Tha Ke Wahabiyon Ke Jalso Me Jao." Aapne Arz Ki Ke Itna To Malum Ho Gaya Ke "Meri Khata Qabil E Maufi Hai." Aur Phir Aapne Sara Waqiah Ismail Dehlvi Ke Makr O Fareb Ka Arz Kia Aur Kaha Main Uska Sarf Parda Faash Karne Ko Gaya Tha Ke Na Malum Kitne Bandgaan E Khuda (Azwajjal) Uski Is Ayari Se Gumrah Ho Rahe They. Aap Sun Kar Khush Hue Aur Razi Ho Gaye._
*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 176,177.*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment