*【POST 78】Khaufzaada Badhshah.* 💫

📌 *Yahi Maulana Noor Sahab Rehamtullah Allay Ek Roz Raste Me Tashrif Le Jaa Rahe They, Samne Se Ali Bakhsh Wazir Badhashah Audh, Jo Uski Naak Ka Baal Ho Raha Tha, Hathi Par Chala Aa Raha Tha. Usne Hazrat Ko Dekh Kar Itna Adab Kia Ke Hathi Ko Bithha Dia Aur Utar Kar Qarib Hazir Huwa Aur Salam Arz Kia. Aapne Uski Taraf Se Muh Pher Liya Aur Salam Na Liya Ke Wo Rafzi Tha Aur Darhi Mundi Hui Thi. Samja Ke Shayd Mujhe Dekha Nahi. Dusri Taraf Jakar Salam Arz Kia. Apne Udhar Se Muh Pher Liya Aur Salam Qabul Na Farmaya. Tisri Dafa Phir Salam Kia, Aapne Jawab Na Dia. Us Khabis Ko Gusa Aya Aur Hathi Par Chardh Kar Yeh Kahta Huwa Chala Gaya Ke Firangi Mahal Ke Mardo 

Ki Darhi Aur Aurto Ka Sar Na Mundawaya To Ali Bakhsh Nam Nahi. Aap Jab Makan Me Tashrif Le Gaye To Ek Talib Ilm Ne Ali Bakhsh Ka Wo Faqra Arz Kia. Fauran Bahar Tashrif Laye Astane Par Us Waqt Mere Peer O Murshid Rehamtullah Allay Maulana Fazl Rasool Sahab Rehamtullah Allay Hazir They. Arz Kia : Huzur Kaha Ka Qasd (Irada) Faramte Hai? Farmaya : Bacho Noora Ki Hamqate To Hai (Apki Zubaan Purbi Thi) Rafzi Aya Tha, Salam Kia Tha, Jawab 

De Dia Hota. Ab Kisi Ki Darhi Munde Hai Kisi Ka Morde Morde Hai. Noora Ki Hamqate To Hai. "Aur Aap Sidhe Badhshah Ke Mehal Ko Tashrif Le Chale Ke Us Se Paistar (Pehle) Kabhi Na Gaye They, Bache Bache Dono Hazrat Bhi Ho Le. Us Din Noor Roz Ka Din Tha. Uske Mehal Me Jashn Ho Raha Tha. Sharab O Kabaab Aur Gane Bajane Ke Saman Maujud They. Jab Darbaan Ne Tashrif Late Dekha, Gabhra Kar Dodta Huwa Gaya, Aur Badshah Ko Khabar Di.*


✨ _Badshah Sun Kar Gabhra Gaya Aur Hukm Dia Ke Fauran Tamaam Manhiyat E Sharah (Sharan Mamnuh Chiz Maslan Saz O Alat Aur Sharab Wagera) Uthha Diye Jaye Aur Khud Darwaze Tak Istaqbal Karke Hazrat Ko Andar Le Gaya Aur Ba Izzat Tamaam Bithhaya. Ali Bakhsh Khada Huwa Yeh Waqiah Dekh Raha Hai, "Kato To Badan Me Khun Nahi." Samj Raha Hai Ke Ab Yeh Shikayat Farmayege Aur Khuda Jane Badhshah Kia Kuch Karega, Magar Yeh "Wasih Zarf" Is "Halke Qayas" Se War Hai. Yeh Shikayat Farmane Tashrif Na Le Gaye Balke Use Apni Azmat Dikhane Ko Ke Wo Iza Rasani Ke Khayal Se Baz Rahe. Yeh Shikayat Farmane Tashrif Na Le Gaye Balke Use Apni Azmat Dikhane Ke Wo Iza Rasani Ke Khayal Se Baz Rahe. Badhshah Ne Arz Ki: "Harat Ne Kisi Taklif Farmai. Irshad Farmaya : "Teri Zamin Me Rahat (Yani Rahte) Hai Humne Kaha Aaye, : 'Badhshah Ne Wo Sherni "Meri Jo Nau Roz Ke Liye Ai Thi Paish Ki. Farmaya : "Humare Du Bache Bhi Bahar Hai." Chunache Un Hazrat Ko Bhi Bulaya Gaya. Thodi Der Tashrif Rakh Kar Wapas Tashrif Laye._


📌 *Yeh Dono Hikayatein Mujh Se Hazrat Maulana Abdul Qadir Sahab Rehamtullah Allay Ne Lakhnow Me Bayan Farmai Jab Main Aur Wo Hizir 1309 Me Kuch Kitabein Dekhne Lakhnow Gaye They.*


*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 178,179.*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites