📌 *Maulif: Ek Roz Nawab Wazir Sahab Ahmad Khan Sahab Ek Kitaab Jis Me Unhone "Tarifaat E Ishaya" Likhi Thi. Ala Hazrat Madila Ko BagArz E Islah Bad E Zohar Suna Rahe They. Ilm E Jafaar Ki Tarif Sunate Waqt Hzur Ne Irshad Farmaya : Apne Ilm E Zairja Ki Tarif Na Likhi. Yeh Ilm E Zafaar Hi Ka Ek Shuba Hai, Isme Jawab Manzum Arbi Zubaan "Bahr E Tawil" Aur Huruf E Laam Ki Rawi Se Ata Hai Aur Jab Tak Jawan Pura Nahi Hota Muqtah Nahi Ata Jis Ko Sahib E Ilm Ki Ijazat Nahi Hoti Nahi Ata, Maine Ijazat Hasil Karna Chahi. Isme Kuch Pada Jata Hai Jisme Huzur Aqdas ﷺ Khawab Me Tashrif Late Hai. Agar Ijazat Ata Hui Hukm Mil Gaya Warna Nahi. Maine Tin Roz Pada , Tisre Roz Khawaab Me Dekha Ke Ek Wasih Maidaan Hai Aur Usme Ek Bada Pukhta Kunwa Hai. Huzur Aqdas ﷺ Tashrif Farma Hai Aur Chand Sahaba E Kiram Radiallahu Ta'la Anhum Bhi Hazir Hai Jisme Se Maine Hazrat Abuhuraira Radiallahu Ta'la Anho Ko Pehchana. Us Kunwe Me Se Khud Huzur Aqdas ﷺ Aur Sahaba E Kiram Pani Bhar Rahe Hai.*
✨ _Usme Se Ek Bada Takhta Nikala Ke Arz (Chodai) Me Derdh Gaz Aur Tawil (Lambai) Me Do Gaz Hoga Aur Uspar Sabz Kapda Chardha Huwa Tha Jiske Wust Me Safed Roshan Boht Jali Qalam Se " Alif Ha Zaal" Isi Shakl Me Likhe Hue They Jis Se Maine Yeh Matlab Nikala Ke Uska Hasil Karna "Hazyan" Farmaya Jata Hai. Is Se Baqaida Jafar Izan Nikal Sakta Tha. Ha Ko Bataur E Sadr Maukkhr Akhir Me Rakha. Uske Adad Panch Hai Ab Wo Apni Pehli Jagah Se Tarqi Karke Dusre Martaba Me Aa Gayi Aur Panch Ka Dusra Martaba Panch Dihai Hai Yani Pachaas Ka Huruf Nun Hai Yu Izan Samjta Magar Maine Is Tarah Iltfaat Na Kia Aur Lafz Zahir Par Rakh Kar Us Fan Ko Chordh Dia Ke "Ahaz" Ke Ma'ni Hai "Fuzul Bak."_
💫 *Mazaar E Murshid Par Hazri Ke Adaab.* 💫
✨ _*Arz: :* Murid Ko Bad E Wafaat Qabar Par Kis Tarah Adab Karna Chaiye?_
📌 *Irshad: Char Hath Ke Fasle Se Khada Ho Kar Fatiah Pade Aur Uski Hayat Me Jaisa Adab Karta Tha (Waisa Hi Ab Bhi Kare) Samne Se Hazir Ho Kar Balis (Yani Sarhane ) Se Hazir Hone Me Murd Kar Dekhna Padta Hai Aur Usme Taklif Hoti Hai.*
📖 *[Sahib E Mazaar Ki Takid]*
📍 *(Isi Silsile Me Yeh Hikayat Bayan Farmai) Ek Buzurag Ka Intqaal Huwa. Unki Sahabzadi Rozana Qabr Par Hazir Hoti Aur Tilawat E Quraan Azim Kia Karti. Kuch Muddat Guzarne Ke Bad Wo Josh Jata Raha. Ek Roz Hazir Na Hui, Shab Ko Khawab Me Tashrif Laye Farmaya : "Esa Na Karo, Au Aur Mere Mawajaha Me Khadi Ho. Yaha Tak Ke Tumhe Ji Bhar Ke Dekhlu. Phir Mere Liye Dua E Rehmat Karo Aur Phir Chali Jao Rehmat Aakar Mujh Me Aur Tum Me Hijaab Ho Jayegi."*
*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 179,180.*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment