*【POST 82】Momin Ki Farasat.* 💫

📌 *Yaman Ke Ek Nasrani (Isai) Ne Yeh Sahi Hadees Suni Ke Huzur Aqdas ﷺ Farmate Hai :*

✨ _Musalman Ki Farasat Se Daro Ke Wo Allah Azwajjal Ke Noor Se Dekhta Hai._

📖 *[Sunan Tirmizi]*


📌 *Is Nasrani Ne Chaha Ke Imtehaan Kare, Idhar Ke Nasara Zunaan Badhte Hai, Usne Zunar Niche Chhupaya Aur Uper Musalman Libaas Pehna, Amama, Bandha Aur Musalman Ban Kar Mashaikh E Kiram Ki Majlis Par Daura Shuru Kia. Har Ek Ke Pass Jata Aur Hadees Ke Ma'ni Puchhta. Wo Kuch Farma Dete, Yeh Dusre Ke Pass Hazir Hota. Yuhi Bagdaad Sharif Aya Aur Hazrat Syed Ul Taif Radiallahu Ta'la Anho Ki Majlis E Waiz Me Hazir Huwa. Arz Ki : 'Ya Syedi ! Is Hadees Ke Ma'ni Kya Hai : Arbi 157 Par Farmaya : Is Ke Yeh Ma'ni Hai Ke Zunaar Tordh Aur Nasraniyat Chordh, Islam La. "Wo Yeh Sunte Hi Betaab Huwa Aur Kalma Shahadat Pada. (Tazkira Tul Aauliyah Jild 2 Safa10) Aur Kaha : "Ya Syedi Me Itne Mashaikh E Kiram Ke Pass Aur Kisi Ne Mujhe Na Pehchana. "Farmaya : Sab Ne Pehchana. Magar Tujh Se Taruz Na Kia (Yani Puch Gaz Na Ki) Ke Tera Islam Mere Hath Par Likha Hai.*


💫 *Mujahide Ka Matlab.* 💫


✨ _*Arz: :* Mujahide Ke Kya Ma'ni Hai?_

📌 *Irshad:Sara Mujahida Is Aat Karima Me Jamah Farma Dia Hai :* _Jo Apne Rab Azwajjal Ke Huzur Khade Hone Se Dare Aur Nafs Ko Khawaisho Se Roke Beshak To Jannat Hi Thikana Hai._

📖 *[Surah Naza'at Ayat 40,41]*


📍 *Yahi Jihad E Akbar Hai.*


📌 _*Hadees Me Hai: Jihad E Kufaar Se Wapas Ate Hue Farmaya :* Hum Apne Chhote Jihaad Se Bade Jihad Ki Taraf Phire._

📖 *[Kashf Ul Khafa]*


📌 *Sarkaar ﷺ Kahlate Hai Ek Sahab Ko Anaar Ki Khawaish Me 30 Baras Guzar Gaye Na Khaya. Iske Bad Khawab Me Ziyarat E Aqdas Huzur E Akram ﷺ Se Mushraf Hue Ke Farmate Hai : "Tere Nafs Ka Bhi Kuch Tujh Par Haq Hai. Subah Uthhe Anar Khaya. Ab Nafs Ne Doodh Ki Khawaish Ki, Farmaya 30 Baras Khawaish Kar Phir Shayad Huzur ﷺ Tashrif Laye Aur Farmaye, Us Se Yahi Behtar Ahi Ke Sabar Kar. Fauran Khawaish Dur Ho Gayi.*


*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 185,186.*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites