*【POST 83】Nafsani Aur Shaitani Khawaish Me Farq.* 💫

📌 *Is Qism Ki Khawaish Ya To Nafsani Huwa Karti Hai Ya Shaitani Jis Ke Do Imiyaz Sahal (Yani Asan) Hai, Ek Yeh Ke Shaitani Khawaish Me Boht Jald Ka Taqaza Hota Hai Ke Abhi Karlu Ajlat (Jaldi) Shaitaan Ki Taraf Se Hoti Hai.*

📖 *[Jameh Tirmizi]*


✨ _Aur Nafs Ko Esi Jaldi Nahi Hoti. Dusri Yeh Ke Nafs Apni Khawaish Par Jama Rahta Hai Jab Tak Puri Na Ho Use Badalta Nahi. Use Waqai Usi Shay Ki Khawaish Hai. Agar Shaitani Hai To Ek Chiz Ki Khawaish Hui, Wo Na Mili, Dusri Chiz Ki Hogi, Wo Na Mili Tisri Ki Ho Gayi Us Waste Uska Maqsad Gumrah Krna Hai Khwa Kisi Taur Par Ho._


💫 *Mujhe Sharam Ati Hai.* 💫


📌 *Ek Sahab Ek Buzurag (Hazrat Dawood Tai Allayrehma) Ke Yaha Aye Dekha Ke Pani Pine Ka Ghar Dhoop Me Rakha Hai. Unhone Kaha : Pani Dhoop Me Rakha Rah Gaya, Garam Ho Gaya Hoga. "Farmaya : "Subah To Saya Hi Tha Phir Dhoop Aa Gayi, Maine Allah (Azwajjal) Se Sharam Ki Ke Nafs Ki Khatir Qadam Uthao.*


💫 *Thhanda Paani.* 💫


📌 *Hazrat Siri Saqti Radiallahu Ta'la Anho Ka Roza Tha. Taaq (Yani Deewar Me Bani Hui Mehrabi Dant) Me Paani Thhanda Hone Ke Liye Ap Khura (Pyale) Me Rakh Dia Tha. Asar Ke Maraaqabe Me They. Jo Raan E Hashti (Janti Huro) Ne Yake Bad Digar E Samne Se Guzrna Shuru Kia. Jo Samne Ati Us Se Dariyafat Farmate Hai : "Tu Kis Ke Liye Hai?" Wo Ek Banda Khuda Ka Naam Leta. Ek Aai Us Se Pucha. Usne Kaha : Usne Kaha : "Main Uske Liye Hu Jo Roze Me Pani Thhanda Hone Ke Liye Na Rakhe. "Farmaya : "Agar Tu Sach Kahti Hai To Is Kuje Ko Gira De. " Usne Gira Dia. Iski Awaz Se Aankh Khul Gayi. Dekha To Wo Ab Khura Tuta Pada Hai.*


💫 *Doodh Ka Piyala.* 💫


📌 *Do Farishtein Apas Me Mile. Ek Ne Pucha : "Kaha Jate Ho?" Dusre Ne Kaha : "Fulah Abid Ke Hath Me Doodh Ka Pyala Hai Aur Wo Piya Chahta Hai Mujhe Hukm Hai Ke Jakar Par Maro Aur Gira Do Aur Tum Kaha Jate Ho? Kaha :"Fasiq Der Se Dariyah Me Banchi Dale Bethha Hai Aur Machhliyah Nahi Phansti Mujhe Hukm Hai Jao Aur Phaans Do."*


*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 186,187,188.*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites