*【POST 86】Qayamat Kab Ayegi. (A)*💫

✨ _*Arz: :* Qayamat Kab Hogi Aur Izhar E Ayam Mehdi Kab?_

📌 *Irshad: Qayamat Kab Hogi Use Allah Azwajjal Janta Hai Aur Uske Bataye Se Uske Rasool ﷺ Qayamat Hi Ka Zikar Karke Irshad Farmata Hai :* _Allah Gaib Ka Janane Wala Hai, Wo Apne Gair Par Kisi Ko Muslat Nahi Farmata Siwaye. Apne Pasandida Rasoolo Ke._

📖 *[Surah Jin Ayat 26,27]*


✨ _Imaam Qustalani Wagera Tasrih Farmate Hai Ke Is Gaib Se Murad Qayamat Hai Jiska Zikr Uper Mutsil Ayat Me Zikar Hai._

📖 *[Arshad Ul Sari Sharah Sahi Bukhari]*


📌 *Imaam Jalaludeen Suyuti Rehamtullah Alllay Se Pehle Baz Ulma E Kiram Ne Bamala Haza Ahadees Hisaab Lagaya Ke Yeh Ummat San Hazar Hijri Se Aage Na Badegi. Imaam Suyuti Allayrehma Ne Isme Inkar Me Risala Likha 'Al Kashf An Tajaawuz Hajihi Al Ummat Ul Alf " Isme Sabit Kia Ke Yeh Ummat Hizri 1000 Se Zaroor Aage Badegi. Imaam Jalaludeen Suyuti Allayrehna Ki Wafaat Sharif Hizri 911 Me Sabit Hai, Aur Apne Hisab Se Yeh Khayal Farmaya Ke Hizir 1300 Me Khatma Hoga. Ba Hamditalah Ise Bhi 26 Baras Guzar Gaye Aur Hanuz (Abi Tak) Qayamat To Qayamat , Ishrat E Kubra Badi Nisbaniyo) Me Se Kuch Na Aya. Imaam Mehdi Ke Bare Me Ahadees Bakashrat Aur Mutwatir Hai Mavar Un Me Kisi Waqt Ka Taun Nahi Aur Baz Uloom Ke Zariya Se Mujhe Esa Khayal Guzarta Hai Shayd Hizri 1837 Me Koi Saltnat Islami Baqi Na Rahe Hizri 1900 Me Hazrat Imaam Mehdi Zahoor Farmaye.*


✨ _*Maulif:* Jab Main Makka Muazma Hazrat Maulana Abdul Haq Sahab Rehamtullab Allay Ki Khidmat Me Hazir Tha. Qazi Rehmatullab Wahabi Ko Hazir E Khidmat Paya Aur Ye Wo Waqt Tha Ke Maulana Usko Sanad E Hadees De Chuke They. Mujhe Yeh Nihayat Gira Guzra. Maine Maulana Abdul Haq Sahab Se Arz Kia Ke Main Bhi Aapki Gulaami Me Hazir Huwa Hu, Aur Yeh Bhi Aapse Sanad Hasil Kar Chuke Hai To Yaha Wo Ikhtlaaf Jo Hum Me Unme Darbara Masla Gaib E Rasoolallah ﷺ (Yani Rasoolallah ﷺ Ke Ilmegaib Ke Bare Me) Ba Asani Tay Ho Skata Hai, Is Par Maulana Ne Tin Din Me Ek Risala. Bafaraid Sunnat Nabiwkya Fil Fawais Baihiya" Tahrir Farma Kar Qazi Rehamtullah Ko Dia. Is Risala Me Maulana Ne Asar E Qayamat Ke Mutliq Boht Si Ahadees Jamah Farmai Hai Lekin Un Me Bhi Taeen Waqt Nahi._


📌 *Irshad: Hadees Me Hai : "Dunia Ki Umar Sat Di. Hai, Main Pichle Din Me Mabus Huwa."*

✨ _Dusri Hadees Ne Hai :"Main Ummid Karta Hu Ke Meri Ummat Ko Khuda E Ta'la Nisf Din Aur Inayat Farmaye._

📖 *[Sunan Abh Dawood]*


📍 *In Hadeeso Se Ummat Ki Umar 1500 Baras Sabit Hui :*

✨ _Tere Rab Azwajjal Ke Yaha Ek Din Tumhari Gitni Me Hazar Din Baras Ke Barabar Hai._

📖 *[Al Hajj 47]*


📌 *In Hadeeso Se Jo Mustfaad (Natija) Huwa Wo Is Tuqit Ke Munafi Nahi Jo Us Ilm Se Mere Khatal Me Aai Hai Kyon Ke Yaha Huzur Sarwar E Alam ﷺ Ki Taraf Se Apne Rab Azwajjal Se Isdah Hai. Ainda Inaam E Illahi Azwajal Wo Jis Qadr Zayda Ata Farmaye Jung E Badr Me Huzur ﷺ Ne Sahaba Allayrizwan Ko Tin Hazar Farishtisn Madad Ke Liye Aane Ki Ummid Dilai.*

✨ _Kya Tumhe Yeh Kafi Nahi Ke Tumhara Rab Azwajjal Tin Hazar Farishtein Utar Kar Tumhari Madad Farmaye._

📖 *[Al Imraan 124]*


📌 *Is Par Haq Subhan Wa Ta'la Ne Farishto Ka Izaafa Farmaya Ke*


✨ _Kyon Nahi Agar Tum Sabr Karo Taqwiyat Par Raho Aur Kafir Abhi Ke Abhi Tum Par Aaye To Tumhara Rab Azwajjal 5000 Insaan Wale Farishto Se Tumhari Madad Farmayega._

📖 *[Al Imraan 125]*


*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 190,191,192.*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites