✨ _*Arz: :* Huzur Ne Jafar Se Malum Farmaya?_
📌 *Irshad: Haan ! (Aur Phir Kis Qadr Zubaan Daba Kar Farmaya) Aam Khaye Perd Na Gine, (Phir Khud Hi Irshad Farmaya) Ke Maine Yeh Dono Waqt Hizri 1837 Me Saltnat E Islam Ka Khatam Hona Aur Hizri 1900 Me Imaam Mehdi Ma Zahor Farmana) Syed Ul Maka Shifi. (Yani Ashaab E Kashf Ke Sardar) Hazrat Shaikh Mohiyudeen Ibne Arabi Radiallahu Ta'la Anho Ke Kalam Se Akhaz Kiye Hai, Allaho Akbar ! Kesa Zabrdast Wajeh Kashf Tha Ke Saltnat E Turki Ka Bani E Awal Usmaan Pasha Hazrat Ke Mudato Bad Paida Huwa Magar Hazrat Shaikh Akbar Radiallahu Ta'la Anho Ne Itne Zamane Pehle Usman Padha Se Lekar Fareb Zamana Aakhir Tak Jitne Badshah Islami Aur U Ke Wazea Hoge Ramoz (Isharo Kanayo) Me Sab Ka Mukhtsar Zikr Farmaya. Un Ke Zamane Ke Azim Waqeh (Gair Mamuli Waqiat) Ki Taraf Bhi Ishare Farma Diye. Kisi Badhshah Se Apni Is Tahrir Me Ba Narmi Khitab Farmate Hai Aur Kisi Par Halat E Gazab Ka Izhar Hota Hai, Is Me Khatam E Saltnat Islami Ki Nisbat Lafze "Iyaqz" Farmaya Aur Saaf Tasrih Farmai Ke*
✨ _(Yani Main Iyaqaz Hajr Yeh Ke Bare Me Nahi Kahta Balke Meri Murad Yaqz Jafriya Hai.) Maine Is "Iyaqz Jafri" Ka Jo Hisab Kia To Hizri 1837 Ate Hai Aur Unhe Ke Dusre Kalam Se Hizri 1900 Zahoor E Imaam Mehdi Ke Akhaz Kiye Hai. Wo Farmate Hai : Rubai_
📌 *(Yani Jab Zamana Bismillah Ke Huroof Pad Gumega To Imaam Mehdi Zahoor Farmayege Aur Hatim Kabba Me Shaam Ke Waqt Tashrif Layege, Suno Unhe Mera Salam Kahna)*
✨ _Khud Apni Qabr Sharif Ki Nisbat Bhi Farma Dia Ke Itni Mudat Tak Meri Qabr Logo Ki Nazaro Se Gayab Rahegi Magar_
📍 *Jab Shain Me Sain Dakhil Hoga To Mohiyudeen Ki Qabr Zahir Hogi.*
📌 *Sultaan Salim Jab Shaam Me Dakhil Hue To Unko Basharat Di Ke Fulah Muqam Par Humari Qabr Hai. Sultaan Ne Waha Ek Quba Banwaya Jo Ziyarar Gah E Aam Haj. (Phir Farmaya) Chand Jad Awal 28-29 Khano Ki Aap Ne Tahrir Farmadi Hai Jin Me Ek Khana Likha Aur Baqi Hai Khali Chordh Diye Ab Uska Hisaab Lagate Rahe Ke Us Se Kya Matlab Hai?*
*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 193,194*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment