*【POST 92】Wahabi Waiz Ka Parda Chak Ho Gaya.* 💫

📌 *Rabul Izzat (Azwajjal) Ki Shan Hai Ke Badmazhab Kaisa Hi Jameh Ayari Pehan (Bhes Badal) Kar Mere Samne Aye , Khud Bakhud Dil Nafrat Karne Lagta Hai. Hazrat Walid Majid Quds Sira Ke Zamana Hayat Me Delhi Ka Ek Waiz Hazir Huwa Aur Us Waqt Maulana Abdul Qadir Sahab Badayuni Rehamtullah Allay Bhi Tashrif Rakhte They. Ismail Dehlvi Aur Wahbiyah Par Bade Sahd O Mad (Zor Wa Shor) Se Der Tak Lan Tan Ki Aur Usne Apne Sunni Hone Ka Pura Pura Sabut Dia. Mere Bachpan Ka Zamana Tha. Jab Wo Chala Gaya To Maine Apna Khayal Hazrat Ki Khidmat Me Zahir Kia Ke Mujhe To Yeh Paka Wahabi Malum Hota Hai. Maulana Badayuni Rehamtullah Allay Ne Farmaya : "Abhi To Wo Tumhare Samne Wahabiyon Aur Ismail Par Tabra (Burrabhala) Kah Gaya Hai. Maine Arz Ki Ke Mera Qalb Gawahi Deta Hai Ke Yeh Sab Taqiyah (Ane Mazhab Ko Chhupate Hue Jhoot Bolna) Tha, Ise Jameh Masjid Me Waiz Kahne Ki Ijazat Humare Hazrat Se Leni Hia Ke Be Hazrat Ki Ijazat Ke Yaha Waiz Nahi Kah Sakta, Isliye Usne Tamhid Dali. Dusre Din Sham Ko Pihr Hazir Huwua. Maine Use Masail E Wahabiyah Me Chherda, Sabit Huwa Ke Paka Wahabi Hai. (Lihaja ) Dafah Kar Dia Gaya. Apna Saman Lekar Chala Gaya.*


💫 *Ala Hazrat Aur Ek Najdi Ki Mulaqat.* 


📌 *Hazrat Walid Majid Quds Sira Ul Aziz (Yani Rayis Ul Mutkalmin Allama Naqi Ali Khan Allayrehma) Ke Wisaal Sharif Ke Kuch Dino Bad Jab Ke Apne Manjle (Yani Darmiyane) Bhai Marhum (Yani Shehanshah E Sukhan Ustad E Zaman, Maulana Hasan Raza Khan Allayrehma) Ke Makaan Me Rahta Tha. Bahar Tanha Tha. Gali Me Ek Arbi Sahab Nazar Aye. Jab Qarib Aye Maine Chaha Unke Liye Qayam Karta Ke Ahl Arab Ke Liye Qayam Meri Adat Thi Magar Is Bar Dil Karahat Karta Hai. Main Uthhna Chahta Hun Aur Dil Andar Se Daman Khichta Hai. Akhir Maine (Apne Nafs Se) Kaha Ke Yeh Tera Takbur Hai. Jabran Qayam Kiawo Akar Bethhe. Maine Naam Pucha Kaha : Abdul Wahab. Muqam Pucha Kaha : Najd. Ab To Main Khatka Aur Maine Use Masail E Mutliq Wahabiyat Puchhe. Itna Ashad Wahabi Nikla Ke Yaha Ke Wahabiyah Us Ki Shagirdi Kare. Bar Abr Huzur Aqdas ﷺ Ka Nam Pak Leta , Na Awal Me Kalma Tazim Na Akhir Me Durood. Main Use Har Baar Rokta Aur Kalimat Tazim Aur Durood Sharif Ki Hidayat Karta Aur Wo Na Manta. Akhir Maine Sakhti Ke Sath Us Se Kaha Tu Majbur Ho Kar Bola : Main Tumhare Kahne Se Kahta Hun ﷺ. Maine Use Dafah Kia. Akhir Faqra Yeh Tha Ke Huamra "Rukhtana (Rukhsati Ka Inaam) Do. Maine Shehar Ke Do Ek Wahabiyon Ka Pata Dia Ke Unke Pass Ja Yaha Tere Liye Kuch Nahi. Bil Akhir Wo Kayb Wa Khasar (Nakam Wa Namurad) Dafah Huwa. Maine Apne Dil Ko Shabash Di Ke Tune Hi Thik Kaha Tha.*


*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 202,203.*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites