☑ISLAM ME HAJJ KI EHMIYAT....
Hajj Bhi Namaz Roza Aur Zakat Ki Trah Islam Ka Ek Ahem Farz Hai Aur 5wa Ruqn Hai Namaz Aur Roza Jismani Ibadat hai Zakat Mali Ibadat hai....
Aur Hajj Jismani Aur Mali Ibadat ka Majmua Hai Sahib-E-Istita'at Aaqil Baligh Musalman Mard Wa Aurat Par Umr me Ek Bar Hajj Karna Farz hai....
Jis Trah Har Musalman Par Namaz Rozo Ke Masail Aur Malik-E-Nisab Par Zakat ke Masail Sikhna Wajib Hai Usi Trah Jab Koi Musalman Hajj Ka Irada Kare To Uspar Hajj ke Masail Sikhna Zaruri Hai Take Hajj Sahi Tour Par Ada Ho Aur Safar Ki Mehnat Mashakkat Aur Paisa Bekar na Jae....
☑Hadeese Nabawi :
Jo shakhs (Hajj farz Hone ke baad) Hajj kiye bagair mar jaaye to wo chahe to Yahudi hokar mare ya Nasrani hokar mare.
(Tirmizi, Jild -1 Safa -167)
☑Hadees:-
Haaji ki magfirat ho jaati hai aur haaji jis ke liye kare uski bhi Haaji apne ghar walo me se 400 ki shafa’at karega Jo Hajj ke liye nikla aur faut ho gaya to Qayamat tak uske liye Hajj ka sawaab
likha jaayega aur Jo Umrah ke liye nikla aur faut ho gaya uske liye Qayamat tak Umrah ka sawaab likha jaayega.....
(Shoibul Eimaan)
☑ISTILAHAT....
HAJJ:-
Baitullah Sharif Ki Tazeem Ke Liye Makhsus Afaalke Sath Uski Tazeem Karna Aur Uska Waqt 9 Julhijjatul Haram Se 12 JulHijjatul Haram Tak hai....
☑MIQAAT:-
Us Maqam Ko Kehte hai Se Ehram Bandha Jata hai Jo Saksh Miqaat ki Hadd Ke Andar Rehta hai Wo Miqati Kehlata hai Aur jo Bahar Rehta hai Wo Aafaqi Kehlata hai....
☑EHRAAM:-
Baniyyate Hajj. Ba-Wuzu Bager Sili Hui Safed Lungi Bandh Lena Aur ek Safed Chadar Odh Kar Do Raqa'at Namaz Ba Niyat Ehram Padhna Aur Salam Ferne ke Bad Hajj ki Niyyat Karna Aur Talbiyah Padhna Ehram Kehlata hai.....
Aurat Apne Sile Hue Kapde me Ehram ki Niyyat Karegi....
☑AYYAM-E-TASHRIQ:-
Jin Dino me Takbire Tashriq Padhi Jati hai Yani 9 Jilhajj Ki Fazr Se 13 Jillhajj Ko Asr Tak....
☑YOUMTTARVIYAH:-
Jis Rozse Hajj ki Ibadat Shuru Hoti hai Yani 8 Jillhajj Se....
☑YOUM-E-ARFA :-
Jis Roz Medan-E-Arfat me Hajj Hota hai Yani 9 Jillhajj...
☑HARAM:-
Makkah Muqarrma Ke Charo Kuch Door Takki Zameen Hurmat Wa Taqaddus ki Vajah Se Haram Kehlati hai Uski Hudud Par Nishaan Lage hai Usme Shikar Karna Matlab Darakht Aur Ghaas Wagera Katna Mana hai Siway Izkhir Makhsus ghaas ke Jo Log Hudud e Haram Me Rehte hai Unhe Harmi Ya Ahle Haram Kaha Jata hai.....
(MOIN-UL-HAJJ- SAFA : 6)
To Be Continued...
No comments:
Post a Comment