*"HAJJ KA MUKAMMAL BAYAN Part 1 🕋*


HAJJ KA AASAN TARIKA.....

☑Qur’an :
وَأَتِمُّوا الْحَجَّ وَالْعُمْرَةَ لِلَّهِ

☑Tarjuma:-
Aur Hajj aur Umrah (ke manaasik) ALLAH ke liye mukammal karo.
(2 Surah al-Baqarah, Aayat 196)


☑Qur'an :
وَلِلَّهِ عَلَى النَّاسِ حِجُّ الْبَيْتِ مَنِ اسْتَطَاعَ إِلَيْهِ سَبِيلًا ۚ وَمَنْ كَفَرَ فَإِنَّ اللَّهَ غَنِيٌّ عَنِ الْعَالَمِينَ


☑Tarjuma:-
Aur ALLAH ta’ala ka haq hai insaan par ke baitullah ka Hajj kare jo waha pahunchne ki haisiyat rakhta ho.
(3 Surah Aale Imraan, Aayat 97)

☑Hadees:-
Hazrte Abdullah ibne Mas’ood se riwyat hai ke Huzoor RasoolAllah sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya
‘Hajj aur Umrah mohtaaji aur gunaho ko aise door karte hain jaise bhatti lohe,
chandi aur sone ke mail ko door karti hai aur Hajje mabroor ka sawaab Jannat hi hai......
(Tirmizi, Ibne Maajah, Ibne Khuzema)

☑Hadees:-
Jis ne Hajj kiya aur Rafs (fahash kalaam) na kiya aur fisq na kiya to gunaho se paak hokar aise lauta jaise us din maa ke pait se paida hua....
(Bukhari)

☑Hadees:-
Ek Umrah dusre Umrah tak un gunaho ka kaffara hai jo darmiyan me hue aur Hajje mabroor ka sawaab jannat hi hai....
(Ibne Maajah)

☑Hadees:-
Jo us raah me (Hajj ya Umrah) ke liye nikla aur mar gaya uski paishi nahi hogi, na hisaab hoga aur kaha jaayega tu jannat me daakhil ho ja.....
(Tibrani, Bayhaqi)

To Be Continued...

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites