*✭ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ✭*
*BACHPAN KI HIKAYAT*
=======================
# Sayyed Ayub Ali Sahab رحمة الله تعالي عليه Farmate Hai Pachpan Me A'alahazrat رضي الله تعالي عنه Ke Ghar Ek Molvi Sahib Quraan Majid Padhane Aaya Karte The,
# Ek Roz Ka Zikr Hai Ke Molvi Sahab Kisi Ayat E Kareem Me Bar Bar Ek Lapz Aap Ko Batate The Magar Aap Zaban E Mubarak Se Nahi Kahte The Wo Zabar Batate The Aap Zer Padhte The Ye Kaifiyat Jab Aapke Dada Jaan
# Hazrat Mawlana Raza Ali Khan رضي الله تعالي عنه Ne Dekhi To A'alahazrat Ko Apne Paas Bulaya Aur Kalame Paak Mangwa Kar Dekha To Iss Me Katib Ne Galti Se Zer Ki Jagah Zabar Likh Dya Tha,
# Yani Jo A'alhazrat Ki Zaban Se Nikalta Tha Wo Sahi Tha.
# Aap Ke Dada Ne Poocha Bete Jis Tarah Molvi Sahab Padhate The Tum Ussi Tarah Q Nahi Padhte The?
# Arz Ki: Mai Irada Karta Tha Magar Zaban Par Qabu Na Paata Tha.
# A'alhazrat Khud Farmate The Ke Mere Ustad Jin Se Mai Ibtedai Kitab Padhta Tha,
# Jab Mujhe Sabaq Padha Dya Karte, Ek Do Martaba Mai Dekh Kar Kitab Band Kar Deta, Jab Sabaq Sunte To Harf Ba Harf Lafz Ba Lafz Suna Deta, Rozana Ye Haalat Dekh Kar Ta'ajub Karte.
# Ek Din Mujh Se Farmane Lage Aye Ahmad Miya! Ye To Kaho Tum Aadmi Ho Ya Jin? Ke Mujh Ko Padhate Der Lagti Hai Tum Ko Yaad Karte Der Nahi Lagti!
# Aap Ne Farmaya ALLAH Ka Sukr Hai Mai Insaan Hu Haan ALLAH Ta'Ala Ka Fadl O Karam Shaamil E Haal Hai
📚: HAYAT-E-AALA HAZRAT

No comments:
Post a Comment