*POST - 04* KAUN IMAM AHMED RAZA

*✭ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ✭*

*BACHPAN KI HALAAT* 
=======================
# Molvi Irfan Sahab Qadri Razvi Ka Bayan Hai Ke Ek Martaba Huzoor (A'alahazrat) Ne Irshad Farmaya Ke Mai Apni Masjid Ke Samne Khada Tha ,

# Iss Waqt Meri Umr Sadhe Teen Saal (3 Yr 6 Mnth) Ki Hongi, Ek Sahab Ahle Arab Ke Libaas Me Malbus Jalwah Farma Hue, Ye Maloom Hota Tha Ke Arbi Hain,

# Inhone Mujh Se Arbi Zaban Me Guftagu Farmai, Maine Fasih Arbi Me Unse Guftagu Ki, Uss Buzurg Hasti Ko Fir Na Dekha

# Janab Sayyad Ayub Ali Sahab Farmate Hain Ke Huzoor (A'alahazrat) Ki Umr Taqriban 5, 6 Saal Hongi,

# Iss Waqt Sirf Ek Bada Kurta Pahne Hue Bahar Tashrif Lae Ke Saamne Se Chand Tawa'aif Zinaan Bazari Guzren,

# Aap Ne Fauran Kurte Ka Agla Daman Dono Hatho Se Utha Kar Chahrah Mubarak Jo Chupa Lya Aur Satr Khol Diya,

# Aapne Barjasta Jawab Diya"Jab Nazr Bahekti Hai Tab Dil Bahekta Hai, Jab Dil Bahekta Hai To Satr Bahekta Hai"Ye Jawab Sun Kar Wo Sakta Ke Aalam Me Hogai

# Ek Martaba Mohalla Saudagaran Ne Samjid Ke Qarib Ek Buzurg Se Mulaqat Hui,

# Inhone A'alahazrat Ke Sar Se Paaun Tak Bagaur Dekha Aur Kai Bar Dekha, Aapne Farmaya,

# Tum Raza Ali Khan Ke Kon Ho?Huzoor Ne Jawab Diya: Mai Unka Poota Hu,Farmaya "Jabhi"Aur Tashrif Le Gae.

# Ke Ek Roz Molvi Sahab Bachon Ko Padhwa Rahen The The Ke Ek Bachen Ne Salaam Kya,

# Molvi Sahab Ne Jawab Diya: Jeete Raho Iss Par Huzoor Ne Arz Kya: Ye To Salaam Ka Jawab Na HuaWa'alaykum As'Salaam Kahna Chahiye Tha

# Molvi Sahab Sun Kar Bhot Khoosh Hue Aur Bhot Duaen Di,

📚 : HAYAT-E-AALA HAZRAT

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites