*"HAJJ KA MUKAMMAL BAYAN PART 10 🕋*


TAWAAF-E-FARZ....

Agar Tawaf ke 4 Ya Zaid  Chakkaro Ke Baad Wuzu toot Jata hai To Wuzu Karne ke Bad Jaha Se Tawaf Ka Chakkar Choota hai Wahi se Shuru Karna  Chahiye Azsare Nou Nahi Kar Sakte Aur is Surat me Hajre Aswad Se bhi Shuru Karne ki Zarurat nahi....

Tawaf ke 7 Chakkar Pure Hone ke Bad Agar 8 wa Shuru Kar diya to ye 8 wa nahi Balke Naya Pehla Chakkar hoga Lihaza Uske bhi 7 Chakkar Pure Karne honge....

Tawaf ki Dua Agar Yaad na Ho To Qitabe Leker ache se Sikh le Aur Yaad Kar le.....

Esi Awaz se Tawaf ki Dua Padhna Jisse Dusre Tawaf Karne Wale Ya Namaz Padhne Wale ko Tawahhush Wa Pareshani Ho Makrooh hai Un Peshawaro ki Naqal Utarne se Bache Jo Khud bhi Zor zor se Dua Padhte hai Aur Dusro ko Padhwate hai...

Peshab Ya Pakhane ki Hajat ho Fir bhi Use Daba kar Tawaf Karna Maqrooh hai....

Halate Tawaf me Pyas ka Galba Ho to Pani Pi Sakte hai Magar Khana Maqrooh hai Salam Karna Uska Jawab Dena Zarurat ke Waqt Kuch Baat Kar lena Hamd Wa Naat Ka Aahista Aahista Padhna Kisi Namazi ke Aage se Guzarna Aur Deeni Masail Puchna Batana Kisi Mua'zzam Shakshiyat Ya Dost Ahbab Se Musafa Kar lena Sab zaiz hai....

Halate Tawaf Me Pyas ka Galba ho To Pani Pee Sakte Hai Magar Khana Makrooh hai Salam Karna, Uska Jawab Dena, Zarurat ke Waqt Kuch Baat Kar lena, Hamd Wa Naat Ka Aahista Aahista Padhna, Kisi Namazi ke Aage se Guzarna Aur Deeni Masail Puchna, Batana, Kisi Muazzam Shakshiyat Ya Dost Ahbab Se Musafa Kar lena Sab Zaiz Hai....

Hajre Aswad ko Bosa Dene ke liye Dusre Tawaf Karne Walo ko Dhakke Dena Haram hai Jise Dhakka Diya Usse Muafi Chahna Aur Touba Karna Wajib hai Agar Bheed ki Vajah se Ba-Asani Bosa Mumkin na ho To Dono Hath Hajre Aswad Par Lagae Aur Hatho ko Choom le Agar Dono Hatho ka Lagana Mumkin Na ho To Ek Hath Magar Dahina(RIGHT) Hath  Hajre Aswad par  Lagae Aur Choom Le Agar Ye bhi Mumkin Na ho To Dono Hath Kaano Tak Utha Kar Dono Hatheliyo Ko Hajre Aswad Ko Taraf Is Trah Kare ke Hatheliyo ki Pusht Apne Chehre ki Trah Ho Aur Apni Hatheliyo Hi ko Bosa De de Ye Istemal Ho Gaya..

(YANI CHOOMNA ADA HO GAYA.)

Dourane Tawaf Mouka Mile To Ruqne Yamani Ko Dono Dono Hathose Ya Dahine Hathse Choo lena Chahiye Aur Zouq Mutalba Kare to Bosa Le Lene Me Bhi Harj Nahi Albatta Seena Ya Munh Deeware Qaba Ki Taraf Na ho.....

Jis Tawaf me Ramal Karna Masnun Hai Agar Hujum Zyada Hai To Tawaf Ko Mokhkhhar Kare Aur Hujum Kum Ho Jae To Ramalke Sath Tawaf Kare Aur Agar Esa Mouka Milna Dushwar Ho to Ramal ke Sath Tawaf Tawaf Shuru Kar de Jaha Jaha Mouka Milta Rahe Ramal Karta Rahe Aur Bheed Jyada Ho Jae To Ruk Jae Dusro ko Dhakka Dhakki na Kare Izdaham Itna Zyada Ho Jae ke Ramal Kar hi Nahi Sakta to Ramal Moquf Kar de Sirf Tawaf Kar le.....

Tawaf Shuru Kar Diya Ek Chakkar Ke Baad Ramal Yaad Aaya to Bakya Do Chakkaro Me Ramal Kare Aur Do Chakkaro Ke Baad Yaad Aya To Use Ramal ko Hajat Nahi Aur Na Uspar Koi Kaffara Hai.....


WAKUF KE MASA'IL......

Arfat Chahe Paidal Jae Ya Sawari se Dua Wa Durood Sharif Aur Labbaik ki Kasrat Karta Rahe Aur Arfat me Giryazari ke Sath Dakhil ho Aur Jaha Tak Mumkin Ho Jable Rehmat Ke Qareeb me Qyam Kare....

Agar Jable Rehmat ke Qareeb Jagah Na Mile to Medane Arfat me Jaha Chahe Qayam Kare Magar Aam Rasto se Hatkar...

Masjid ka Imaam Agar Saleh Imamat ho to Suraj Dhalte Hi Masjid Pahoch Kar Sunnate Zohar Ada Kare Imaam ka Khutba Sune Zoharki Namaz Jama'at se Ada Kare Fir Asar ki Namaz Jama'at se Padhe Zohar Aur Asar ke Farzo ke Darmiyan Na Sunnat Padhe Na Salam Wa Kalam Kare Aur Asar ki Jama'at Khatm hote hi Mokaf ki Taraf Chal Pade....

Agar Masjid ka Imaam Saleh Imamat Nahi Jese Bad Aqeeda To Apne Khemo me Hi Zohar ki Namaz Jama'at ke Sath Ada Kare Aur Yaha Farz se Pehle Aur Farz ke Bad Dono Sunnato ko Ada Kare Fir Agar Waqt Ho to Tilawate Quran, Dua Wa Durood Sharif Padhte Rahe Jab Asar Ka Waqte Hanfi Shuru Ho Jae To Asar ki Namaz Awwal Waqt me Jama'at se Padh Kar Jable Rehmat ki Taraf Chale Aur Iske Qareeb Pahoch Kar Jitni Giryazari Aah Wa Buka Kar sakte ho Kare Touba Istigfar Aur Dua Durood Sharif Padhte Rahe Yaha Tak ke Suraj Gurub ho Jae....

Arfat ke Medan me Theherna (WAQUF) Yahi Hajj Ka Riqane Azam Hai jo Saksh Navi Julhijja Ke Waqte Zawal se Daswi ki Subha Saduq ke Darmiyan Aehram ke Sath Thodi Thodi Der ke liye bhi Yaha Theher Gaya Wo Haji Hai....

Youme Arfa Medane Arfat me Theharne Wale Ke Liye Basharat Hai ke Agar Usne Apne Kaan, Aankh, Zaban ko Kabu me Rakha To Uski Magfirat hai Aur Agar 4rt Kalma Duroode Paak Aur 4 Kull Padhkar Wo Dua Mange To Uski Bakshish Ho Jati hai Balke Agar Sare Ahle Arfat ki Bakshish ki Dua kare To Sabki Bakshish Ho Jaegi...

Arfat Me Arfeka Roza Mamnu Hai Agar Arfat Se Bahar Rehne Walo Ke Liye Arfeke Roze Me Hazar Rozo ka Sawab hai...

Arfat ke Zulaste Hue Medan me Jaha Tak Bardasht ho Sake Har Qism ke Sae se Bache Khas kar Asr ke Baad se Magrib Tak Bajae Saya Talash Karne ke Medane Hashr Ke Tasawwur me Kho Jae Aur Apne Apko Ahkamul Hakimeen ke Samne Hazir Jane...

Medane Arfat Khaas Kar Mardo Ke Liye Azeem Aazmaish Ki Jagah hai Aurto ko Huqm Diya Gaya Ke Apne Munh Na Chupao Aur Marod ko Huqm Hai ke Unki Taraf Nigaah Na Karo .....

Jo Saksh 9vi ka Suraj Dubne Se Pehle Medane Arfat Ko Chod de Us par Dum Wajib hai Aur Touba bhi Agar Siraj Dubne se Qabl Muzdalfa Se Lout kar Vapss Medane Arfat me Chala Aya To Dum Saqit ho Gaya.....

Gurube Aftab Ho Jane ke Bad bhi Qadre Tawakkuf Kare Fir Medane Arfat ko Chode Take Raat ka Kuch Hissa Aa Jae...

Agar koi Saksh 9vi ka Aaftab Gurub Ho Jane ke Bad Bhi Arfat Me Aya To Uska Waquf ho Haya Magar Us par Dum Wajib hai Ke 9 vi ko Zawal Ke Baad Din ke Kisi Hisse se Wakuf Shuru Karna Wajib hai....

9vi ke Suraj Dubne se Pehle Sawariyo Me Beth Jana Zaiz hai Mahar Arfat Se Nikalna Zaiz Nahi.....

Arfat se Muzdalfa Ki Taraf Rawangi Ke Waqt Hi se Zikr Wa Durood Sharif Aur Dua Wa Labbaik Me Mashruf Rahe....

Wadi-E-Muhassar Muzdalfa Aur Mina Ke Darmiyan Wake'a Hai Jaha Ashabe Feel Par Azabe Islahi Nazil Hua tha Ab Use Khardar Aahni Taaro se Gher diya hai Hajiyo ko Chahiye ke Waha na Thehre....

To Be Continued...

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites