*"HAJJ KA MUKAMMAL BAYAN PART 12 🕋*


RAMEE(SHETAN KO KANKAR MARNA) KE MASA'IL.....

10 vi Zulhijja ko Sirf Jumratul Uqba (Pehla Shetan) Ko 7 Kankariya Marna Chahiye...

Shetan Ko Kankari Marne Se Pehle Ye Maloom Kar lena Chahiye Ke Qaba Sharif Kidhar hai Fir Qaba Sharif Ko Apne Bae Baazu ki Taraf Rakhkar Shetani Sutoon Se Kum Se Kum 2.5 Mitar Doori se Is Trah Ramee Kare Ke Shetan Sutoon Me Kankari Lage Ya Uski Jadd me Gire Ya 3 Hath ki Doori Tak Gire....

Kankari Agar Shetani Sutoon(PILLAR) Se 3 Hath se Zyada Fasle Par Gure To Us Kankarika Shumar Ramee me Na hoga....

Ramee Ke Waqt Jumrat ki Taraf Munh Ho Aur Kankariya Bae Hath me Rahe Aur Jis Kankari ko Shetan Par Marna Hai Wo Dahne Hath ki Anghushte Shahadat Aur Anguthe ki Chootki me ho Fir Daya Hath Khoob Uthakar Ke Bagal ki Safedi Zahir Ho Sake "BISMILLAHI ALLAHU AKABAR" Kehte Hue Ramee Kare....

Shetan Ko Kankari Marte Waqt Ye Niyyat Dil me honi Chahiye Ke Raahe Haq me Dakhal Dene Wali Har Taqat Ko Mismar Kar Raha hu Aur jo Nafs Wa Shetan Mujh par Musallat hai Usko Maar Bhaga Raha hu...

Bheed Bhaad kum Ho to Shetano ko Sathe Zameen(NICHLA HISSA) Hi se Kankariya Marna Afzal Hai.....

Kisi Haji Ne Agar Saato Kankariya Mutthi me Leker Ek Baar hi me Shetan ko Mar di To Ue sirf Ek hi Kankari Samji Jaegi Kyu ke Kankariyo Ko Alag Alag Fekne Ka Huqm hai....

Agar Kisi Haji Ne Ramee Me Sirf Do Ya Teen Kankariya Mari to Us par dum Wajib hai Aur Agar 4 Mari to 3 Chod di To Us par 3 Sadqe Wajib Hue....

Kisi ne Kankar Ke Bajae Jute Chappal Ya Saib Angoor Wagera Se Ramee kiya To wo Ramee Hi Nahi hui Ab Usko Ramee Karna Wajib hai Aur Touba bhi Ke Tazee-e-maal Ya Intehai Neamat ka Mutarkib Hua....

10 vi Zulhijja Ko Tulue Aftab Se Zawal Tak Ramee Karna Sunnat hai Aur Zawal Se Leker Aaftab ke Dubne Tak Mubah (Zaiz) Hai Aur Aftab Doob jane ke Baad Subha Sadik Tak Maqrooh hai....

Suraj Dubne ke Baad Subha Sadik Tak Ramee Karna Agarche Maqrooh Nahi Balke Bila Qarahat Zaiz hai Balke Moujuda Halat me Aurto ke Liye Raat me Ramee Karna Afzal hai...

Ramee Kar lene Ke Bad Shetan Ke Qareeb Jaha se Ramee ko Jati hai Na Thehre Balke 7vi Kankari Marte hi Fouran Zikr Wa Dua Karte Hue Palat Aae Fir Qurbani Wagera me Lag Jae....

11 vi Zulhijja Ko Baad Zawal Namaze Zohar se Farig Hokar Shetan Ko Kankari Marne ke Liye Jana Sunnat hai Vese Ramee Ka Waqt Zawal ke Baad Shuru ho Jata hai Aur Subha Sadiq Tak Rehta Hai Magar Bilauzr Raat me Ramee Karna Makruh hai...

11 Aur 12 Zulhijja Ko Ramee Karne Ka Tareeka Ye hai ke Baad Zawal Se Gurube Aaftab Tak Pehle Jumrtul Ula(Yani Chota Shetan) Ke Qareeb Aaye Jo Masjide Khif Ke Nazdik Hai...

Fir Qible Ki Taraf Munh Karke Use 7 Kankariya Alag Alag Mare Aur Fir Sutoon Se Kuch Aage Badh Kar Jaha Bheed Bhaad Na ho Ya Kum ho Apni Hatheliyo Ko Qibla Rukh Karke Taweel Dua Mange Yani Itni Der Tak Jitni Der mr Kum az Kum Sureh Bakar ko 20 Ayat Padhi Jae Usse Kum Me bhi Harz Nahi...

Uske Bad Jumrtul Wusta(Yani Chota Shetan) Ke Pas Aaye Aur Use Bhi Awwal Ki Trah 7 Kankariya Mare Fir Waha se Hatkar Taweel Dua Mange Uske Bad Teesre Shetan Ke Paas Aaye Aur Use bhi Alag Alag 7 Kankari mare Aur Fouran Palat Aae yaha Kuch Fasle par Theherkar Dua Na Kare Balke Raah Chalte hue Raaste me Dua Wa Istigfar Aur Zikr Kare....

Agar 12 Zilhijja Ko Meena Hi me Thehera Yaha Tak ki 13 ki Raat Aa gai Aur Subha Sadik Aa gai To 13 ki Ramee bhi Wajib hai Agar Bager Ramee ke Chala Jae to Dum Wajib hai....

13 Vi Zulhijja Ki Ramee Ka Waqt 13vi ki Subha Sadiq Se Gurube Aaftab Tak Hai Lekin Subha se Zawal Tak Makrooh hai Lihaza Ramee Karke Makka Mukarrama Rawana Hona Chahiyemmn

Agar 10 Vu Zulhijja Ko Suraj Nikalne Ke Baad Se 11 vi ki Subha Sadik Tak Kisi Waqt Ramee Kiya To Ramee Ho Gai Us Par koi Kaffara Nahi Magar Suraj Dubne ke Baad Bila Uzr Ramee Makrooh hai...

Jo Mard Aurat Kamzor ya Mareez Ho ke Sawari Par bhi Jumrat Tak Nahi Ja Sakta Wo kisi Dusre ko Ramee Ke liye Apna Naib Banae Be Uzre Sharai Ramee ke Liye Kisi ko Nayab Banana Zaiz hai....

Nayab ko Pehle Apni Ramee Karni Chahiye Fir Jiski Taraf se Nayab Banaya Gaya hai Uski Ramee Kare...

Agar Apne Tor pe Kisi  ne Kisi ki Taraf se Ramee Kar di to Ramee Na hui Jo Be Uzr Sharai Kisi ko Apna Nayab Banakar Ramee Kara Le Uski Ramee Sahi Nahi hoti Use Dum dena Lazim hoga...

Kisi Aurat Ne Be Uzre Sharai Sohar Ya Muhrim ko Nayab Banaya To Uske Ramee Karne se Aurat ke Ser se Wajoob Nahi Talega Jab Tak wo Kaffara Na Ada Kare...

Agar Kisi Din ki Puri Ramee Reh Gai to Dum Lazim hai Aur Agar Teeno din Ki Ramee Reh Gai Jab bhi Ek hi Dum Lazim hai Ye Nahi ke Har din ka Ek Dum Lazim hoga Ya Ek Shetan ko na Marne par Ek Dum Aur Do ko Na Marne Par Do Dum....

To Be Continued...

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites