✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵
*📛DAJJAL Kl DONO AANKHO K DARMIYAAN KAAFIR LIKHA HOGA📛*
♻ Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: koi nabi aesa nhi apni ummat ko kaane aur jhoote (dajjal) se na daraya ho aagah raho wo kana hoga aur tumhara rabb kana nhi hai aur dajjal ki dono aankho k darmiya *"Kafir"* likha hoga.
*📚{Bukhari Kitabul Fitan}*
♻ *Wazahat: Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ye baat bhi irshaad farmayi* hai k *"Kafir"* ka lafz har musalman padh lega khawah padha
likha ho ya anpadh.
likha ho ya anpadh.
*📚[Muslim Kitabul Fitan]*
*📛DAJJAL K SAR PAR BAHUT JAYADA BAAL HONGE📛*
♻ *Hazrat Huzaifa Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya:* "dajjal baayi (left) aankh se kaana hai uske sar par bahut zayada baal honge uske saath jannat aur jahannam hogi, (khabardaar) uski jahannam jannat hogi aur jannat jahannam hogi".
*📚(Ibne Maja Kitabul Fitan Hadees no. 3290)*
*📛DAJJAL KA FITNA📛*
*⛔ DAJJAL K PAAS JANNAT AUR JAHANNAM DONO HONGI JO HAQEEQAT MAI JAHANNAM AUR JANNAT HOGI ⛔*
♻ *Hazrat Abu Huraira Razi Allahu Anhu kehte hai Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya:* "kya mai tumhe dajjal k baare mai aesi baat na batau jo us se pehle kisi nabi ne apni ummat ko na batayi ho (wo ye hai k) dajjal kana hoga aur wo apne saath jannat aur jahannam jesi cheeze le kar ayega jise wo jannat kahega dar'asal wo jahannam hogi aur jise wo jahannam kahega wo jannat hogi".
*📚{Muslim Kitabul Fitan}*
*_🔀 TO BE CONTINUED.....🔜_*
No comments:
Post a Comment