✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵
*📛DAJJAL K HUKM SE AASMAAN SE BAARISH BARSEGI, ZAMEEN SE GHAANS AUR ANAAJ WAGAIRA UGAIGA JANWAR PEHLE SE ZAYADA DOODH DENA SHURU KAR DENGE*
♻ Hazrat Nawaas Bin Sa'amaan Razi Allahu Anhu kehte hai ek rooz Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne dajjal ka zikr farmaya humne arz kiya ya Rasool
Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! zameen mai uska ghoomna tezi se hoga?
Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! zameen mai uska ghoomna tezi se hoga?
♻ Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: us baarish ki tarha jise hawa piche se dhakeelti hai wo ek kaum k paas ayega aur unhe apne aap par emaan laane ki dawat dega wo emaan le ayenge aur uski baat maan lenge..
♻ chunanche wo aasmaan ko hukm dega aur wo barish barsayega
zameen ko hukm dega aur wo nayabaat agaahegi (yaani ghaas wagaria ugg jayegi) shaam k waqt (loogo k) janwar charagaho se wapas ayenge to unki koohani pehle se badhi hongi than kushada honge aur pasliya khoob bhari hongi (yaani pehle se janwar moote taaze nazar ayenge, ye us kaum k emaan laane ka waseela hoga)

♻ phir wo dusri kaum k paas jayega aur unhe apne aap par emaan laane ki dawat dega lekin wo uski dawat ka inkaar kar denge chunanche dajjal waha se chala jayega aur un par kahat sali musallat ho jayegi aur unke maalo mai se kuch bhi unke paas na rahega..
♻ dajjal veeraan jagah ki taraf chala jayega aur zameen ko hukm dega apne khazaane ugal de to zameen apne khazaane uski taraf nikaal kar jama kar degi jis tarah shehad ki makkhiya badi makkhiyo k gard hujoom karti hai...
*📚(Muslim Kitabul Fitan)*
*_🔀 TO BE CONTINUED.....🔜_*
No comments:
Post a Comment