*【POST :-03】 Hazrat Imaam Zain-ul-Aabideen Ali al-Awsat rahmatullāhi alaihi.*

♻️ *_Is ke baad Yazeed Jaama masjid se apne ghar par aaya to us ki biwi ne bataaya ke “Aaj raat maine khwaab dekha hai ke Aasmaano ke darwaaze khule hain. Farishto ki jama’ate aa rahi hain aur sare Imaam Husain ke qareeb aakar rookti hain aur arz karte hain ke Assalaamu alayka Ya Abu Abdullāh. Phir ek baadal aasmaan se utra. Yun to us me bahot aadami hain lekin chaand se zyada roshan o munawwar chehre waale ek shakhs aage badhe aur sare Imaame paak ke qareeb pahunchkar bahot roye aur farmaaya : Salaam tum par Aye mere lakhte jigar! In zaalimo ne tum par bahot zulm kiye, paani bhi band kar diya, tumhe qatl kar diya. Kya tum yeh samajhte  ho ke wo tumhare khaandaan aur rutbe ko nahi pehchaante.”_*

✳️ _Is khwaab ke baare me sunkar Yazeed ne Imaam Zain-ul-aabideen ko bulaaya aur kaha ke “Jo kuchh hona tha ho chuka. Agar aap yaha rehna chaahe to qayaam farmaaye. Main khidmat ke liye haazir hu aur agar jaana chaahe to safar ka intazaam karwa du.”_

✴️ *Aap ne farmaaya ke “Imaame Aali maqaam to hum se juda ho hi chuke hain. Damishq me koi Haashmi baaqi nahi. Unhe dhoondh dhoondh kar qatl kar diye gaye hain. Ab to tamanna yehi hai ke Madeena jaakar Roza e Rahmatulil aalameen ki thandi chhaanv me baaqi ki zindagi guzaaru.”*

🔰 *_Yazeed ne Hazrat Nomaan bin Basheer ke saath qaafila e Ahle bait ko shohada e Karbala ke saro ke saath Madeena ki jaanib rawaana kiya._*

✨ *Imaam ne Karbala pahunchkar un saro ko shohada ke jismo ke saath milaakar ba-adab dafn kiye. Phir Karbala se Madeena ke liye rawaana hue.*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites