*【POST :-04】 Hazrat Imaam Zain-ul-Aabideen Ali al-Awsat rahmatullāhi alaihi.*

✳️ *Imaam Madeena munawwara pahunche is ke kuchh din baad Yazeed ne apne chachazaad bhai Uṡmaan bin Mohammad bin Abu Sufyaan ko Madeena Munawwara bheja. Uṡmaan ne Madeena pahuchkar ek jama’at ko Yazeed ke haath par bai'at karne ke liye Madeena munawwara se Damishq bheja.*

🔮 *_Lekin jab woh log Damishq se Madeena waapas aaye to Yazeed ke Fisq o fujoor ka aankho dekha haal Ahle Madeena ke saamne bayaan kiya.  Chunaache Ahle Madeena ne Yazeed ka muqarrar karda aamil Uṡmaan bin Muhammad ko Madeena se baahar nikaal diya. Aur Hazrat Abdullāh bin Hanzala radiy-Allāhu ta’ala anhu ke haath par Bai'at kar li._*

✳ _Lekin Hazrat Manzar bin Zubair ke mashware par Hazrat Abdullāh bin Hanzala muslmano ki jama’at ko lekar Hazrat Imaam Zain-ul-aabideen radiy-Allāhu ta’ala anhu ki khidmat me haazir hue. Jab Imaam ne aane ki wajah puchhi to  Hazrat Abdullāh bin Hanzala ne bataaya ke “Hum Imaame Aali maqaam aur Ahle bait ke ghulaam hain aur Aap se bai'at karne ke liye aaye hain.”_

✴ *Yeh sunkar Imaam ki aankho se aansu jaari ho gaye aur farmaaya ‘Khudaara, Ab ye tazkeera e Bai'at o khilaafat mere saamne na chhedo. Karbala ka ek ek manzar har waqt mere peshe nazar hai. Mere zakhmi dil me ab naye zakhm ki koi gunja'ish nahi. Main sirf is dar par rehkar Rab ki baargaah me sajda karke kuchh sukoon paana chaahta hu.’*

❇ *_Jab sahaaba ne zyada israar kiya to Aap ne farmaaya ke ‘Agar mera Madeena me rehna aap logo ko pasand nahi hai to aaj hi main apne mazloom khaandaan ko saath lekar kisi aisi jagah chala jaaunga jaha koi mera gham dobaara taaza na kare.’ Sahaaba ne Aap ki ye kaifiyat dekhi to khaamosh ho aaye aur Hazrat Abdullāh bin Hanzala radiy-Allāhu ta’ala anhu ki bai'at jaari rahi._*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites