*【POST :-05】 Hazrat Imaam Zain-ul-Aabideen Ali al-Awsat rahmatullāhi alaihi.*

💫 *_Aap ki Ibaadat, Ilm, Husn e akhlaaq, Sabr aur Sakhaawat mash'hoor hai._*💫

🔮 *Aap ki ye aadat thi ke aap puri raat Ibaadat e ilāhi me guzaarte. Aap har din raat me 1000 Nafl padha karte the. Aur raat me posheeda rehkar khud ghareebo aur haajatmando ko zaroorat ki cheeze pahunchate.*

❇ _Aap ke intiqaal ke baad logo ko pata chala ke ye sab imdaad kaun karta tha._

✴ *_Ek roz Aap apne makaan me nafl padh rahe the ki Aap ke makaan me aag lag gai. Log aag bujhaane lage magar Aap usi khushu wa khuzu se namaaz ada karte rahe. Jab Aap namaaz se faarigh hue to logo ne arz kiya ki “Huzoor! Makaan me aag lag gai thi. Hum bujhaane me mashroof the magar aap ne parwah tak na farmai.” Aap ne farmaaya “Tum log yeh aag bujha rahe the aur main aakhirat ki aag bujhaane me mashgool tha.”_*

🔰 _Aap hamesha buraai ka badla bhi is tarah dete the ke khata-kaar sharminda hokar apni khata ki muafi maang leta aur neki ikhtiyaar kar leta._

🌀 *Ek roz Aap apne ghar se baahar kahi tashreef le jaa rahe the ki raaste me kisi gustaakh ne aap ko bura kehna shru kar diya. Aap ne us  se farmaaya ki “Tum ne mujh se jo kuchh kaha agar main waaqai me aisa hu to khuda mujhe muaf farmae.” Ye sunkar wo shakhs bada sharminda hua aur kehne laga “Huzoor! Jo kuchh maine kaha aap aise bilkul bhi nahi hain. Main hi jhuta hu. Aap mere liye maghfirat ki dua farmaayen.” Aap ne farmaaya ke “Achha jaao, Khuda tumhe muaf farmaye.”*

✨ *_Ek baar Aap jangal me se guzar rahe the. Itne me ek hirni aap ke paas aakar baith gai aur kuchh kehne lagi. Imaam Zain-ul-aabideen ke saathiyo ne Aap se is ke baare me puchha to aap ne bataya ‘Ek shakhs ne is ke bache ko pakad liya hai.’ Phir Aap ne us shakhs ko aap ke paas laane ke liye kaha. Jab wo aaya to aap ne use hirni ke bache ko chhod dene ke liye kaha. Us ne Imaam ki baat maankar use chhod diya. Us hirni kuchh kaha aur apne bache ko lekar chali gai. Aap ke saathiyo Imaam se arz kiya “Hume bataiye ki wo hirni kya keh rahi thi?” Aap ne farmaaya ‘Wo keh rahi thi JazaakAllāhu fi daarain khair .”_*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites