POST 2

*_﷽-الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ_*
~*__________________________________________*~
*HAZRAT~E~UMAR IBN KHATTAB RADI'ALLAHU TA’ALA ANHU:- POST [ 2 ]* 
~*__________________________________________*~

✴ _Aap ishqe rasool ke saath har sunnato hadees par Amal karte the aur Har waqt aap ki ta’azeem karte the aur dushmane rasool se kabhi rishta nahi rakhte the._

❇ *_Ek baar RASOOLALLAH ﷺ ki baargah me ek MUSALMAN aur ek yahudi aaye aur apna jaghda bataya. Musalman ne is yahudi se zameen kharidi thi aur us me ek kuan tha. Dono ke darmiyan ye tay hua tha ke ek din yahudi uska pani istemal karega aur ek Din musalman istemal karega. Ek baar yahudi ki bari me musalman ne paani nikal liya._*

✴ _IS baat ko lekar dono me jhagda hua. Jab kisi tarah is ka hal na nikla to yahudi ne kaha ke ‘Aao, ham tumhare Nabi ke paas chalte hain aur un se iska faisla karate hain.’ Musalman ne ye sochkar khush tha ke ‘Main Musalman hu, Is liye Huzoor ﷺ mere haq me hi faisla sunaenge.’ Huzoor ﷺ ne dono ki baat sunne ke baad yahudi ke haq me faisla diya._

❇ *_Musalman ne socha ke kisi bhi wajah se RASOOLALLAH ﷺ Ne yahudi ke haq me faisla de diya hoga. Wo Hazrate Abu bakr Siddiq ke paas aaya aur sari baat batai aur faisla karne ke liye kaha. Hazrate Abu bakr ne keh diya ke ‘Huzoor ﷺ ne jo faisla bata diya hai, use koi badal nahi sakta.’ Phir wo Hazrate Umar Farooq ke paas aaya aur sari baat batai. Aap foran andar jaakar talwar lekar aaye aur musalman ki gardan kaat di. Musalmano me kohram ho gaya ke Hazrate Umar ne musalman ko maar dala._*

✴ _Huzoor ﷺ Ne aap ko bulakar haqeeqat puchhi to aap ne kaha ke ‘Jo aap ke faisle ke khilaf ho aur aapki baat na maane wo musalman ho hi nahi sakta. Wo islam ki aur be-izzati kare isse pehle maine uski gardan kaat di._

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites