POST 14

*_﷽-الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ_*
~*__________________________________________*~        *POST👉1⃣4⃣ ❄Bab-E-Awwal❄*    ~*__________________________________________*~
                   ✨ *_MU"AAMLAAT_*✨

💫 _Muamlaat Agar Na Ho Durust Insan Ke_
_To Janwar Se Bhi Bad'tar He Admi Ki Hayaat_ 💫

*📍(3)AURAT SHADI KE BAAD*

*_Part-2_*

✳ _Hadees Shareef me hai ki Tourat Shareef me likha hai ki *"Jis Shakhs Ki Ladki 12 Baras Ki Umr ko Pohonch Gayi Aur Usne Us Ladki Ka Nikah Nahi Kiya Aur Wo Ladki Badkari ke Gunah Me Pad Gayi To Uska Gunah Ladki Wale Ke Sar Par Hoga.*_

✴ _Dusri Hadees me hai ki *Huzoorﷺ* ne farmaya ki *"ALLAHﷻ* ne Teen(3) Shakhso ki Imdad apne Zimme karam par li hai._

💎 _*1-Woh gulam jo apne Aaqa se azaad hone k liye kisi Qadr raqam ada karne ka ahad kare aur apne ahad ko pura karne ki niyat rakhta ho .*_

💎 *_2-Khudaﷻ ki rah me Jihad karne wala_*

💎 *_3-Woh Nikah Karne wala ya Nikah karne wali jo Nikah ke Zariye Haramkari se bachna chahta ho ._*

✳ _*Aurat* jab tak uski Shadi nahi hoti apne Maa Baap ki beti kehlati hai, magar Shadi ho jane k bad apne *Shohar ki Biwi* ban jati hai aur ab uske *fara'iz aur zimmedariya'n* pahle se bohot bad jati hai woh tamam huqooq wa faraiz jo balig hone ke bad Aurat par lazim ho gaye thai ab inke alawa *Shohar ke Huqooq* ka bhi bohot bada bojh Aurat k sar par Aa jata hai jiska Ada karna har Aurat k liye bohot bada fareeza hai._

✴ _Yad rakho ki Shohar k Huqooq ko agar Aurat na ada karegi to uski duniyavi zindagi *Tabah wa Barbad* ho jaygi aur Akhirat me woh *Dozakh ki bhadakti hui Aag🔥 me jalti Rahegi* aur uski Qabr me sanp bicchu usko daste rahenge aur wo dono Jahan me Zaleel wa khwar aur tarah tarah ke Azabo me giriftar rahegi. Isliye *Shari'at* ke huqm ke mutabik har Aurat par farz hai ki woh apne Shohar k Huqooq ko ada karti Rahe aur umar bhar apne shohar ki *farmabardari wa khidmat* guzari karti rahe._

📃 _Page No.  48 49_
📚 *_Book Name:  Jannati Zevar_*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites