*_🌹°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°_*
*_💞الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ🌹_*
*_☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆_*
*_•🅿️ART- [ 20 ]•_*
ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂
*_BARAAT AYESHA MEIN TAKHEER KI HIKMAT_*
_Daor haazir k munafiqeen ek shor ye bhi machate hain k baraat *HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما k maamle mein HUZOOR ne ijlat kyun na farmayi... aur itni takheer kyun ki...???*_
_Ab isi sawaal ko hum daor e haazir k munafiqeen Wahabi Dayabana ki jaanib laotaatey hain k baraat *HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنه k taalluq se ALLAH TA'ALA ne quraani aayaat k nuzool mein takheer kyun farmayi...???* hai koi aap k paas iska jawaab...???_
_Lekin *ALHAMDULILLAH, AHLE SUNNAT WAL JAMAAT k paas iska shaafi o daafi o kaafi jawaab hai,* nuzool aayat quraan ki takheer mein bhi kayi hikmatey hain, ek ye k agar koi maamla pesh aaye aur faoran iska tadarak kardiya jaaye to iska maamle ki itni ehmiyat nahi rehti._
*_FIl foor rafa dafa hojaane wala maamle sirf kuch dino tak awaam un naas mein zeyr e behes aur maozu sukhan rehta hai, phir ahista ahista log isey faramosh kardete hain, aur iske asraat ta deyr qaayem nahi rehte aur na hi is waqey ki sangeen ka ehsaas hota hai._*
_Dusri hikmat ye hai k fil foor hal shuda maamle mein logon k nazriyaat o takhilaat bhi kaamil taor se raonma nahi hote, bahot se logon k tafakkuraat andar hi andar dab kar reh jaate, unko izhaar karne ka maoqa hi nahi milti._
*_Aesi surat mein logon k zaati rawaiye ka pata nahi lagta k janaab e aala kis jaanib hain...??? Mawafiqeen mein se hain ya mukhalifeen ki girwah mein shamil hain taakey tameez ho sake k ye apna hai ya paraya...???_*
*_🔄TO BE CONTINUED ان شاء اللہ رحمان🔜🔜💞_*
No comments:
Post a Comment