*_🌹°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°_*
*_💞الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ🌹_*
*_☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆_*
*_•🅿️ART- [ 21 ]•_*
ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂
_*HAZRAT SAYYEDNA AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما per lagayi gayi tohmat ka maamla koi mamuli haadsa na tha, ALLAH TA'ALA k MEHBOOB E AAZAM ﷺ ki zaoja mohtarma ki asmat ka maamla tha aur dar parda qayamat tak aane waali khawateen ki izzat o aabru ka maamla tha.*_
_Tohmat ka taalluq kirdaar se the, paak daamani se tha, ek aorat k liye apni asmat se badhkar koi cheez azeez nahi hoti, ek aorat apni asmat k tohaffuz k liye duniya ka saara aesh o araam qurbaan karne k liye hamwaqt mustaaddad hoti hai._
_Agar *HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما per lagayi gayi tohmat ka maamla HUZOOR E AQDAS ﷺ faoran rafa dafa farma dete, to is maamle ki ehmiyat sangeeni ka ehsaas na hota,* aaye din aese ithamaat (tohmat ki jama) ka a'ada aur silsila jaari rehta._
_Sirf *HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما nahi balke aur bhi paak daaman khawateen k daaman asmat jhooti tohmaton se daaghdaar hote rehte aur is ka dayimi taor per koi tadarak na hota.*_
_*HUZOOR E AKRAM ﷺ ne muashere se is qism k razeef afaal ko neest o nabood farmane mein jo kirdar ada farmaya hai, wo puri duniya k liye zarb al misl hai, AAP ﷺ ye chahte the k ilzaam tarashi ki aadat qabeeha ko is tarah khatam kiya jaaye* aur aese iqdaam kiye jaaye k koi bhi shaks kisi paak daaman aorat ki asmat per tohmat lagane se pehle iskey anjaam se ba khabar aur khaofzada hokar iskey irtekaab se thar thar kaanpe._
*_🔄TO BE CONTINUED ان شاء اللہ رحمان🔜🔜💞_*
No comments:
Post a Comment