*_AZMAT~E~ UMMUL MOMINEEN HAZRAT SAYYADNA AYESHA SIDDIQUA رضیی الله عنھا_*

*_🌹°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°_*

*_💞الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ🌹_*

           *_☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆_* 

               *_•🅿️ART- [ 24 ]•_*

ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂


*_Dosti aur wafadaari k tamaam ehed o paemaan wo log faramosh kar jaate hain, bataqaza dosti o muhabbat musibat k waqt madad karna wo bhool jaate hain, madad karna to darkinaar, ulte wo mukhalifat karne walon k zamre mein apni jaaye nishast ikhtiyaar karlete hain._*


_Aese jhute madyi dosti aur sache wafadaaron ka imtiyaaz musibat k maamle k waqt hi sahih taor per hota hai, aam haalaat mein zabani iqraar muhabbat wafadari to sab karte hain lekin jab maoqa aata hai tab aashiq saadiq saaye ki tarah sath rehta hai aur dhoke baaz udkar saamne waley kinare chala jaata hai._


_*HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما per lagayi gayi jhooti tohmat k maamle ko itni lambi muddat tak tol dene k pas parda hikmat e eyzdi yahi thi k logo ka imtehaan aur aazmayish hojaye aur is imtehaan k zariye logon ka imtiyaaz bhi hojaye*._


_Qarayeen ko haerat hogi k munafiqeen ki baaton k jaal mein saada loh aur bhole bhaale musalmaan bhi phans gaye the aur unka shumaar bhi ahle afak yaani tohmat lagane walon mein hota hai, bada hi sangeen maamla tha._


_*Jab pehle BAET UL MUQADDAS ko qibla banaya gaya tha, tab bhi ALLAH TA'ALA ne logon ka imtehaan liya tha jiski tafseel is aayat mein hai.*_


*_وَمَا جَعَلْنَا الْقِبْلَةَ الَّتِي كُنتَ عَلَيْهَا إِلَّا لِنَعْلَمَ مَن يَتَّبِعُ الرَّسُولَ مِمَّن يَنقَلِبُ عَلَىٰ عَقِبَيْهِ_*

*_Tarjuma:_*

_*Aur aye MEHBOOB tum pehle jis qible per the, humne wo isiliye muqarrar kiya tha k dekhe kaon rasool ki paerwi karta hai aur kaon ulte paaun phir jaata hai.*_

*_(📗Sureh Al Baqara, Aayat 143)_*


*_🔄TO BE CONTINUED  ان شاء اللہ رحمان🔜🔜💞_*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites