*_AZMAT~E~ UMMUL MOMINEEN HAZRAT SAYYADNA AYESHA SIDDIQUA رضیی الله عنھا_*

*_🌹°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°_*

*_💞الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ🌹_*

           *_☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆_* 

               *_•🅿️ART- [ 23 ]•_*

ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂


*_Kisi maamle ko tol dene se ye baat bhi waazeh hojati hai k kaon apna hai aur kaon paraya, apni wafadaari aur jaanisaari ka dum bharne waaley ka imtehaan hota hai k ayen waqt per kaon saabit qadam rehta hai aur kiske paaye isteqlaal mein tazalzil aa jata hai._*


_*ALLAH TABARAK WA TA'ALA* ki taraf se aazmayish aur imtehaan hota hai k kaon mukhlis hai aur kaon ghaer mukhlis...???_


*_Bahot se log ki ye fitrat hoti hai k wo hamesha tazabzub k shikaar rehte hain, unke azayem o iraade, faesle aur raaye mein apna koi nazariya kaargar nahi hota, balke wo dusron per munhasir hote hain, aese log maahol k pesh nazar jahaan jhukao hota hai usi taraf jhukte hain._*


_Naaqis al raaye aur naaqis al aqal hone ki waja se wo log dusron k feyl o irtekaab ka ittebaa karte hain, zaati taor per kuch faesla karne se wo log aajiz o qaasir rehte hain aese logon me khud aetemaadi aur khud iradiyat SELF DETERMINATION ka faqdaan hota hai._


*_Wo hamesha dusron k irado aur faeslo k mohtaaj aur marhoon mannat hote hain aur ye khaslat aur aadat mazmoom o na pasandida hai kyun k usme khaof o andesha hota hai k aadmi haq o baatil ka faesla kiye baghaer kisi ki dekha dekhi mein ghalat raah ikhtiyaar karke gumraah hojata hai._*


_Aese logo ka aam haalat mein pata nahi lagta balke jab kabhi koi sangeen maamla hota hai tab unki zehni be maayegi ka pata chalta hai aese log maahol se mutasir hokar hamesha chalti gaadi mein chadh jaane ki taamey zehniyat rakhte hain balke apne nafa aur laalach k husool ki kho ki bina per itne khud gharz hote hain k unko aankhon ki sharam bhi nahi hoti._


*_🔄TO BE CONTINUED  ان شاء اللہ رحمان🔜🔜💞_*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites